Important Announcement
PubHTML5 Scheduled Server Maintenance on (GMT) Sunday, June 26th, 2:00 am - 8:00 am.
PubHTML5 site will be inoperative during the times indicated!

Home Explore Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat

Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat

Published by maqsood5, 2017-07-24 13:36:03

Description: Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Maqsood Hasni
Free abuzar Barqi Kutab’khana
July 2017

Search

Read the Text Version

51lolak waghera11- Bohat se Islami kalmay takya-e-kalam ban gay hain.MaslanJi bismillah, bismillah karo, Alhamdolillah, Allah hafiz,Mashallah, Inshallah waghera12- Dr. Sabir Aafaqi ki nazam “khud itmadi” ka eak bandmalahza farmaein is se Arbi lafzoon kay istamal kaandaza ho ja’ay ga:Allah tairo nasir bandya o malik tay Qader bandyaRehiay daem shaker bandya shak na kariay Sabir bandyaJay toon os naan yaad kariay koRab sachay amdad kareay ko13- Shadi khushi kay gitoon aur marag kay bain aurnohoon masin Arbi alfaz ka bila’takallaf istamal hotarehta hai.

52MIWATI1- Miwati main bohat se Arbi alfaz apni assal ashkal,daisi istamal aur ba’daisi mafaheem main mostamal hain.Maslanmulak, aseel, maal, eid, mahal, sakhi waghera2- Tabdeli-e-ashkal kay sath un’gint Arbi alfaz miwatimain dakhil ho gay hain. MaslanMunjal (manzal), Koom (qoom), khaphan (kafan), jakhman(zakhm), kismet (qismat), majboran (majbori se), tablig(taligh), jalso (jalsah), kheso (qessa), ojaro(ojalah), okhat(oqat), halwo (halwa), faslo (fasla) waghera3- Mivati main Arbi alfaz jur kar marakbaat tashkeel

53patay rehtasy hain. MaslanBaqar’eid, baqreed donoon tara se mostamal hai. Kismitko maro, donyan ko mal, yah asloob Gojri ka bhi hai. Sakhimarad ko sath, Gojri main bhi issi toor se boltay hain.Sangat aseel, khair-o-sar (shar)4- Mivati main aawazoon kay tabadal ki kaee suratainhain aur yahhi ravaiya Arbi kay sath hai. Maslana. hy maqsura ki tabadal aawaz wao hai. Maslan jalso(jalsah), khiso (qessah), arso (arsah), (qisso qissa)b. Punjab kay mivatioon ki thisri aur chothi nasal “alaf”ki aawaz ko bhi wao main tabdeel kar daiti/rahi hai.Maslan ando (anda)c. Pari mivati main hay maqsura kay liay alaf ya alaf kise aawaz nikaltay hain. Maslan jalsa/jalso, sadma’sadmo,wagherad. Zaal ki aawaz ka mivati jeem tabadal hai. MaslanJomo (zima), jikar (zikr), jael (zaiel) wagherah

54e. Soad ki aawaz kay liay seen mostamal hai. Maslansab/saeb saeb (Sahib)Khaso/khasa/kha’asa (khsah)Khalas/khalisSadko/sadkaSadmo/sadma (sadmah)f- Zawaad kay liay jeen ki aawaz bool chal main aati hai.Maslan jaep/jaeph, oojo (wazo),jabta/jabita/japto/jaebta (zabta), japt/japti/jabat/jabti(zabt/zabti),jaeya/jaya jamun/ja’amung- Zaal ki aawaz jeem main tabdeel ho jati hai. Maslanjakaat/ja’akaat (zakat), japran/ja’aphran (zafran)h- Sheen ki aawaz ki mutbadal aawaz seen hai. Maslanbashr se baser, shahi se sahi, Shrab se sarab/sa’araab,

55sharbat se sarbat, shubah se suba/subosaruko/sarika/sarika/sarikoi- Qaaf ki aawaz ko kaaf main tabdeel kar daitay hain.Maslanshooq se sook wagherahj- Khy ki aawaz kaaf main tabdeel ho jati hai. Maslankhalipha/khalipho/khaelipha/kha’alipho (khalifa)wagherahk- Fay ki aawaz phay main badal daitay hain. Maslanaphraat/aphar’at/aphraat, phitno/phitna (fitnah),pharman (farmaan), phursat (fursat), pharaj(faraz)l- Ghasi ki aawaz gaaf main tabdeel kar daitay hain.m- Qaaf ki aawaz ka tabadal khay bhi hai. Maslankhissop, khasbo (qesba), tuphan(tufan)n- To’ay ki mutbadal aawaz tay hai. Maslan tuphan(tufan), tarj (tarz)

56o- Mivati mohavroon main Arbi alfaz ka istamal hotarehta hai. Maslan khapun (kafun) pharan, daphan karan,pharaib dain, tuphan avan, kismit ajman, kismat jagan,phitno jagan, taliph pharman, honslo totan, sakal bigranp- Bohat se Arbi tamihaat mivati shaeri main raej hogaee hainq- Arbi istalahaat ki mivati main kami nahain.r- Mardana aur zanana namoon main Arbi alfaz dakhalho gay hain.MaslanMohammad Sariph, basir Ahmadf, Sadeek khan, Deen bibi,jannat Bibi, Noor Boibis- Bar-e-Sagheer ki dosri zobanoon ki tara mivati main“noon” ka hashvi istama aam se baat hai. Maslanhonslo wagherah

57


Like this book? You can publish your book online for free in a few minutes!
Create your own flipbook