URDU HAIKUHAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana 2016
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAHHaiku japani sinaf-e-adab hai. Hamaray haanHiko/Haikoo/haiku talafaz mustamal hain. Asljapani talafuz Haiku hai. Agar'chah yah kisina'kisi hawala se 1929 ya is se kuch pehlaymotarauf ho chuki thi laikin Is ki urdu mainba'qaeda takhleeq o tashkeel aur daramad kasehra Dr. Mohammad Amin par hai. Is kay liay17 (5-7-5) arkaan teh pa’ay. Kush nay pabandiki aur kush is pabandi say aazad rahay.Dosridaramda asnaf-e-adab ki tarah is
sinaf-e-sukhan nay bhi is dharti ka mazaajapnaya aur ab yah ajnabi mehsoos nahainhoti.Yah asooli si baat hai kah mahajar jab tak osdharti ka mazaaj, saliqa, rovaeya,toor–o-atwar, nahvi aur lisani asool,tarz-e-mashrat waghera ikhtayar nahain karta,awaal ta'aakhir mahajar hi rehta hai. Haikunay bhi is adbi, lisani aur samaji asool konazar’andaz nahain kiya. Yahan apna gharbananay ke liay yah momkin bhi na tha. Is kirooh main yahaan ki matti ki khushbu aanaykay sabab yah sinaf-e-adab khoob phali pholihai. Sab say bari baat to yah hai kah issaychahnay waloon ki achachi khasi tadaadmayassar aa gaee.
Dr. Mohammad Amin nay na’siraf tarajam(ZARD PHOLOON KI KHUSH'BU) paish ki balkahkhud bhi baray shan'dar haiku takhleeq kiay.Akhtar Shumaar kay haan Hamdiya, Natiya aurkarbalaee haiku parhnay ko miltay hain. Eakintakaab Naseem Saher nay paish kiya. Wohkhud bhi achchay sha’ir hain aur oon ka kalammukhtalif adbi rasael main shaya hota rehtahai. Haider Gardaizi ka majmoa abtadaeedinoon ka hai, is nay bhi is sinaf ko waqarbakhsha. Oon ka soch apni noeat ka hai. Issitara Hamaet Ali sha’ir kay seh'misray saraf-e-nazar nahain kiay ja sakain gay.1986 main Maqsood Hasni nay “ Sapnay AglayPehar Kay” nasri haiku paish kiay, jin kaPunjabi, Sindhi, Pushto,Gurmakhi, English,koriyan waghera main tarjama howa. Goya
yah sab is sinaf ki maqboliat ka sabab bana.Aaj yah surat hai kah is sinaf ka charchayahaan ki bohat sari zobanoon main milta hai.in zabanoon main yahaan kay mazaaj aurmoashrat kay sath bohat say baray umda aurla’jawab haiku parhnay ko mil jatay hain. Assalmain is ki maqboliat ka sabab, is ka ikhtasaraur moqami haiku nagaroon ki pur'khalooskavash’gari hai.Haiku main bonyadi cheez os kanazriya-e-takhleeq hai jabkah haiat sanvimoamlah therta hai. Nazria-e-takhleeq mainteen batain aati hain:•Kisi cheez, khasusan fitri aur qudrati aanasarpar pehli nazar paray aur os nazar kay hawalasay paida honay wala ta’asar.•Os paida honay walay ta’asar ko ossi tarah
jaisa wo hai qalamk aghaz kay hawalay kardaina•Paida honay walay ta’asar main kisi qisam kitabdeli aur aalodgi nahain honi chahea. Agartabdeli ho gi ya ki ja’ay gi to ossay haiku kanaam daina monasab na ho ga.Hamaray haan jab Dr. Mohammad Amin nay issinaf-e-sukhan ko motaraf karwaya todarj-e-bala amoor ko awaliat hassal rahita’hum is kay liay teen misray (lines) shartqaem rahi. Chand masalain malahzah hoon:•Yah safar hai, qayam hai, kiya haiYah masafat kah teh hoee na kabhiZindagi kiya hai ratjagoon ka safar(Mohammad Amin)
•Sabr likha giya lahu say tairyTashnagi soo rahi thi khaimoon mainSath os kay Farat behta tha(Akhtar Shamar)•Dobti hai kabhi obharti haiHairatoon kay khulay somandar mainMairi sochoon ki dolti nao(Bashir saifi)•Mujh ko itni si roshni day dayDil kay kamray main baith kar pal bharApnay halaat-e-zindagi parh sakoon (HaidarGardayzi)
Baad’azain is kay owazan par mobahas kasilsala chal nikla aur is kay liay 17 (5-7-5) arkanki pabandi lazam theri.1986 main Maqsood Hasni kay nasri haiku kamajmoah “Sapnay Aglay Pehhar Kay” shayahowa. Khayaal tha kah yah achchi khasitanqeed ka nishana banay ga laikin ismajmuay ki bari tehsein-o-paziraee hoee. Iskay mukhtalif zobanoon main tarajam bhihoway. Nasri haiku ko paish karnay ka bonyadimaqsad yah tha kah obaarnay wala ta’asar(thought) bahar’toor kisi bhi hawala say majrunahain hona chahiay. Nasri kalam mainaahang ko bonyadi haisiat hasal hoti hai.Aahang dar’haqiqat towazan (Balance) kadosra naam hai. Batoor namona kuch haikumalahzah hoon:
•Jiwan kay pechlay peharAglay pehar kay sapnaySonay nahain daitay aksar•Aao zohad-o-taqaTaqleed-e-aasar mainPamila kay naam kar dain•Makhi ghaleez to haiApni hat main laikinNaak ki dushman hai•Kala kawaKali ratoon mainMehman howa ojaloon ka
Dr. Sabar Aafaqi ka kehna tha kah yah haikunasri nahain hain. Oon kay motabaq hermisraymain wazan hai aur tinoon misroon kayowazan alag say hain. Baat zara mazeed aagaybhari to haiku kay pehlay aur tisray misray kohum’qafia hona zaroori qarar day diya giya.Maslan ka yah Hamdiya Hai kumalahzahfarmaein:•Naam adab say laySaray ojalay phelay hainIsam-e-Mohammad saySha’ir Ali Sha’irAsl moamlah yah bhi hai kah mahajar apniwalait ki samaji, moashi, imrani, moasharti aurnafasyati rowayaat sath lata hai laikin dosri
walait main yah sab nahain chal pata. Ossay oskhita-e-araz kay hawala say jina paray gawarna mohajar ka mohajar hi rahay ga. Ya bhironhain, os khitah e arz ke motabaq dhalnaparay ga. Yahan is baat ko bhi bhulna nahainchahiay kah wo haiku ka ibtadae doortha.Insan ki tarah asnaf-e-sukhan waqt kaysath taghiraat say gozarti hain. Ghazal kodaikh lain gham-e-janaan kay hisaar say nikalkar gham-e-doraan aur gham-e-rooz'gar tak aaponchi hai.Ehad-e-Meer aur aaj ki ghazal ko daikh lain,fiqri lisani aur asloobi itbar say zamein aasmanka faraq nazar aa’ay ga. Ta’hum is ki eak cheeztora-e-amtiyaz rahay gi kah wo is ka godaz’punaur reshmeat hai. Yah silsala rok nahain pa’ayga. Khuda janay aatay waqtoon main kahaan
tak ponchachy. Ungint tajarbay hoon gay aurissi ka naam zindagi hai.Bhala haiku in tajarbaat say kayoon’kar bachpa’ay gi. Tajarboon ka rasta nahain roka jasakta aur nahi rokna chahiaya, yah zoban,asloob aur fiqr kay liay som-e-qatal hai. Bawarrahay rasta rok bhi nahin sakta kayon’kah is kilagam waqt kay hath main rehti hai. Zindagi koto chaltay rehna hai. Mairay ya kisi aur kaykehnay say zindagi aur is say motalqaat rok tonahain saktay.Haiku aaj Urdu ki maqbool tarein sinaf-e-adabhai ab yah japani nahain rahi. Is maintajarbay ho rahay hain. Humdia, Natiya aurHussani haiku takhleeq pa rahay hain .Yah sab
Japani haiku main kahaan hai. Is liay yahkehna ziyada monasab ho ga kah haiku nayUrdu ka mazaj, saliqa, toor, asloob, andaz aurlisani chalan ikhtayar kar liya hai. Aaj issaybadaisi nahain kaha ja sakta. Chand Japanihaiku malahzah hoon. Is say mozoaat ka faraqwazay ho ja’ay ga:•Baraf Jo hum donoon nay daikhi thiKiya is saal bhi girray gi(Basho 1644-1694)•Tanhaee bhi Mosarrat haiSham-e-khezaan(Yosa bosan 1716-1784)
•Kitni hosein haiDarwazay kay sorakh sayKehkashaan (Kobashi asa 1763-1828)•BarsaatGhar ka rasta sailabi haiAur mandak wahaan tair rahay hain(Masaokashiki 1867-1902) (Zarad Pholoon Ki Khoshboo,Motarjam Dr. Mohammad Amin,Victri Book Bank, Lahore 1992)
Aaj ki Urdu aur Farsi ghazal qareeb qareeb hokar bhi apna joda rang dhang aur rang-o-rooprakhti hai. Aisi hi surat Japani aur Urdu haikukay sath dar'paish hai aur rahay gi. Yah koeenaee baat nahain, Haiku nay Urdu mazaj kokush’dili say apnaya hai. Is ki yah kush’mazajiaur kush’dili hi urdu main is kay panpanay kasabab bani hai.
Search
Read the Text Version
- 1 - 17
Pages: