Urdu Maqsood HasniAbuzar Barqi Kutab'khna Aguest 2016
Farist Urdu hai jis ka naam Awazoon ki tarkeeb o tashkeel ke awamal Mofrad aur murakab awazain Urdu ki char awazain Urdu hai jis ka naamTehqeeq karoun ki tehqiqi kawashoun ko nazar andaz karma,onhain yaksar mostarad kar daina ya phir oon ki tehseion nakarma na insafi aur zulm kay motradaf hai. Woh apni inlisanyati harkatoon kay hawalah say aanay waloun ko tehqeeq
aur khouj kay midan dasyaab kartay aa'ay hain. Makhi pe makhimarnay waloon ki baat is se qataee alag'tar hai. Her aata kalpechloun kay hawala say agla qadam rakhta aaya hai.Insan ibtada hi say insan aur kaenaat kay sar basta razoun kokhojnay aur talashnay main masrouf raha hai. Gozray kal kaylogoun nay porani tehziboun ko her hawala aur her zivia-e-nazarsay daikha parkha aur khoja hai. Tamam tar koshashoun kaybavajoud insan talasha ja saka hai aur na'hi kaenaat kaysar'basta raz khul pa'ay hain. Woh khud apnay hathoun gozraykal main banaee gaee ashya aur oon kay tasarfaat ko talashnahain kar paya.Yah bhi hota aaya hai aur ho raha hai kah gozray kal kay tehqikaam ko bar bar lafzoun ki hair phair kay sath paish karkay
tehqeeq karoun ki saf main naam indraj karwanay ki saee kigaee hai. Is say waqti wah wah ya phir ala digri to hasil kar ligaee laikin tehqi amal ko koee khatir kha faeda nahain ho saka.Hamaray haan khasusan taleem ko taraqi dainay kay hawala sayhamaisha rola dala gaya hai laikin amli tour par khuchnahain kiya gaya . Univarastioun main ziyada'tar jaili kaamhowa hai Os jaili kaam aur naqal dar naqal ki hosla afzaee mainjaili logoun ko ala darjoun ki asnaad mil gaee hain jin kay balbotay par yah jaili log onchi korsioun par barjaman to ho gaylaikin onhoun nay apni nalaeqi kay sabab asuli tehqeeq kaydarwazay farakh nahain, band kiay hain. yahhi nahain her kaamkarnay walay ko dodkara hai. In nalaeqoun nay naam kay PhDaur MphiL log paida kiay hain aur nalaqi ka yah silsala aglaywaqtoun kay liay bhi jari-o-sari kar diya hai.
Apnay tour par kaam karnay waloun ki kabi aur kisi hawala sayhosla haza ya wasael faraham karnay ki koshesh hi nahain kigaee.Mein apnay moaqaf ko eak missal say wazay karnay ki kosheshkarta houn. Mein nay koee dhae sou kay qareeb Urdu zoban kaymotalaq mazamein aur tehqiqi maqaloun ko daikha aur parkahai. In sab main eak baat hi dohraee gaee hai kah urdu HindAaryaee zoban hai. Agar koee is ki ibtada say motalaq pichaygaya hai to balbun kay ehad say pichay nahain ja saka warna sabki Shajahan Wali Dakni par taan toti hai. Is hawala say daikhaja'ay to lafz Urdu kahein dhondnay say nahain mil pata gayaLafz Urdu Balbun kay ehad ki paidawar nahain hai aur nahiaariya Balban kay ehad main Hindustan main aa'ay thay. Oonka aana to bohat pehlay say ta'alaq rakhta hai. Dosri baat yah
kah arya koee 3200 say 3500 saal pehlay Hindustan main waridhoway. Kiya os say pehlay yahaan kay log gongay thay aurisharoun main baat kiya kartay thay.Woh kisi na'kisi zobanmain to baat aur lain dain kiya kartay houn gay. Aakhir wohkoun si zoban thi?Yah sawal bari ehmiat rakhta hai aur is ka jawab khojna barazarori hai. Aaj tak kisi nay is ghothi ko suljhanay ki zahmatgowara hi nahain ki.Issi tara lafz hind ki jar tak abhi tak koee nahain poncha. Meinnay is lafz ko jannay ki koshesh ki aur is natija par poncha kahyah lafz Sami hai aur arboun ya Farioun kay sath Hindustanmain warid howa. Ab thora mazeed aagay barha houn tomaloum howa hai kah yah lafz Sami nahain hami hai aur yah
lafz kahein bahir say nahain aaya balkah yahan say bahirmokhtalif mafaheem kay sath baramad howa hai.Mein nay Lagfz Hind ki kahani kay onwan say kuchmarozaat Net par paish ki thein kisi nay baat aagay barhanay kikoshesh hi nahain ki. Satan ko main farsi lahqa samja raha thalaikin yah lahqa farsi nahain hai balkah lafz santan ya asthan kaalag se istamal howa hai. Ism ke lahqoon se lafz bantay aa'ayhain. Hazrarat Abdal Ghofaar almarouf Nouh (AS) kay potayyaeni Hazrat Haam kay baitay ka naam Hind tha. Yah lafz HindKi santan ya asthan say Hindustan mostamil ho giya. Lafz Hindkay hawala say Hindu, Hindi, Hindavi, Hindustan, Hindustaniwaghera mostamil hotay gay. Ta hum zoban ka aaghaz HazratHind say nahain howa. Hazrat Hind say pehlay bhi log yahannmojoud thay aur yah silsala Hazrat Adam sufi ullah (AS) say bhi
bohat pehlay tak jata hai.Waqt gozarnay kay sath is zoban ko kaee naam miltay aa'ay hainaur yah zobanoun main koee naee baat nahain. Donyan ki dosrizobanoun kay sath bhi yahhi chalta aaya hai. Onhain bhimokhatalif oqaat main mokhtalif naam rang-o-roup aur askaalmilti rahi hain. Urdu ka naam ho sakta hai Turki ya Angraizi sayaaya ho laikin yah koee hatmi aur sika band baat nahain, yahmoamla abhi tehqeeq talb hai.Yah ghalt fehmi jo yaqein main badal gaee hai kah UrduMosalmanoun ki zoban hai. Is harba say yahan kay logoun kotaqseem karkay oon ki ithadi qowat ka satyanas maar kar rakhdiya giya. Taqseem kay hawala say yahhi surat Punjabi kay sathpaish aaee. Gormokhi ko gher moslim jab'kah Punjabi/Shamokhi
ko moslim zoban ka naam day diya giya halankah yah donounnaam hi ghalt aur bai'bonyad hain. Gormokhi ko daikhain yahGoru kay monh say nikli batoun tak hi mehdoud nahain.Galioun main boli janay wali zoban kay hawala say donyan kikoee zoban is kay moqabil nahain aa sakti. Kiya Goru Hazraatkay monh say galiyaan nikala karti thein ya phir ya galiyanonhoun nay zoban ko di hain?!Bilkul nahain woh to bhalay aur baray log thay aur oon ki herbaat Danish ka ala namona hai.Punjabi ko panj aab kay hawala say daikha ja ay to yah doulafzoun ka majmoa hai yahhi nahain yah dounoun lafz badaisihain. Issi tara Punjabi farsi ka majmoa nahain aur nahi is kasara zakhira-e-alfaz Shah (faqeer davaish waghera ya Badshah)
ka kalaam ya kaha howa hai. Yah khita lakhoun saal say aabadchala aata hai aur is khitay ka hamaisha say apna zati hawalamojoud raha hai.Asl haqiqat yah hai kah zoban ossi ki hai jo ossay istamal mainlata hai. Zoban shakhas say nathi hai jo jis qamash ka admi hotahai, zoban ka istamal bhi ossi tour say samnay aata hai.Hamaray haan lakhoun log angraizi boltay hain kiya woh sabangraiz ho gay?! Bilkul nahain. Issi tara maghrab ya donyan kiaur walaetoun main bai'shumar log jo bar-e-sagher say motalaqnahein hain laikin woh Urdu/Hindi istamal main latay hain. Istara woh bar-e-sagher kay bashinday to nahain kehla saktay.Zoban kay istamal main lanay ka dhang tour tariqa, lehja,andaz, mazaj, mahoul, nazriyaat, asoul-e-moash-o-moashrat
waghera alag say ho saktay hain. Oon kay lisani asoul bhi alagsay ho saktaty. Movanas mazakar ya phir wahid jama banay kayatwaar bhi mokhtalif ho saktay hain. Kiya in sab batoun kodaikh kar Urdu zoban ko alag alag khanoun main bant diyaja'ay ga. Nahai, bilkul nahain.Is zoban main mokhtalif mazahib ki kotab mojoud hain.Mukhtalif mazahib ki kitaboon ke tarajam howay hain. Kiya oonkitaboun ko daikh kar issy Esae urdu, Sikh urdu, Hindu urduishtatraqi urdu, sarmaya'dar urdu, jamhori urdu Wahabi urdu,Soni urdu shiya urdu waghaera khaha ja'ay ga? Yah hi suratamarja se ta'aluq rakhti hai. Sagodha, multan lahore waghera kitehriri o taqriri urdu eak si nahain. yah farq ashkhas tak chalajata hai.
Is kay istamal main lanay walay mokhtalif rangoun naslounalaqoun say motalaq mojoud hain kiya is hawala say is kitaqseem ki ja sakti hai?Urdu/Hindi main mokhtalif zobanoun kay alfaz mojoud haintaqseem ka jawaz to yahaan bhi nikalta hai. Agar kaha ja'ayAngraizi urdu, Japani Urdu, Arbi urdu, Farsi urdu, Chini urduwaghera kiya yah ajeeb nahain lagta.Reh gaee rasam-ul-khat ki baat to yah aaj tein tara kay mostamilhain. In khatout kay hawala say naam bhi tein tara kay hainyaeni Dev nagri, Nasleeq, Roman. Yah tinoun likhnay kay hawalasay tein izhaar kay tour hain warna parhnay, bolnay, samjhnaykay hawala say koee ikhtalaf mojoud nahain. is baat ko younkaha ja sakta hai:
1- Yah zoban yaeni Hind'santani- Hind'asthani (hindi, urdu,roman) Hazrat Adam safi ullah (AS) say bhi bohat pehlayyahan kay logoun kay rabtay ka zariya thi haan albatta Kaeenaam aur rasam-ul-khat mayassar aatay rahay hain aur herdour kay motabiq is ka andaz aur rowaeya raha hai.2- Hindi, Hindu, Hindustani, Hindavi waghera Hazrat Hindbin Haam bin Nouh kay hawala say kaha jata raha hai.3- Zoban ka apna koee mazhab, nazriya, alaqa, rang, naslwaghera nahain hotay. Yah ossi ki hai jo issay istamal main latahai.4- Zoban apnay istamal karnay wloun kay rang, nasl, alaqa,nazriya, mazhab waghera kay zair-e-asr zinda rehti aur parwancharti hai ta hum issy on hi logoun tak mehdoud kar daina kisi
bhi hawala say darust aur monasab baat nahain.Daraj-e-bala morozaat ka siraf matlab yah hai kah hamarijamiaat main sabqa batoun ko lafzoun kay hair phair saydohraya ja raha hai ya phir eak hi zaviya-e-nazar say daikha jatahai aur yah rovaeya kisi tara darust nahain. Jamiaat kayProfessor sahiban ko chahiay kah woh tehqeeq ko laqeer kafaqeer na banaein bal'kah aaj aur gozray kal kay kaam komahdoud zaviya-e-nazar say malahza na karain. Issi tara teqeeqkay kaam ko rang nasl alaqa mazhab nazriya waghera kaytarazu par na rakhain bal'kah bara jigra karkay baat yamoamlay ko 6 atraf say malahza karain aur apnay shagirdounko bhi 6 atraf say daikhnay ka mashwara dain. Agar aisa na kiagiya to oon ka kaam aatay waqtoun main bai'maeni ho kar reh jaay ga bal'kah guzarta aaj bhi ossay mustard kar day ga. Is qism
kay kaam ko khidmat ka naam daina tehqeeq kay naam kay sathziyadti ho gi.Thu Jan 06, 2011 10:55 pm __________________________________ Awazoon ki tarkeeb o tashkeel ke awamalKaenat ki takhleeq kay sath hi aawazoon ki takhleeq ka kaammokamal ho giya. Her shay main takhleq'kaar nay os ki zaroratistadad aur hajit kay mowafaq aawazoon ka eak marboot aurmonazam nazam rakh diya. Aawaz ki takhleeq kay baad lafz nay
janum liya. Lafz mukhous halaat aur zarorat kay tehat kisizoban/boli kay lisani diciplan motwazan tarteeb-o-tanzeem kayqudrati aur fitri johar jo oon se mukhsous hota hai, kayikhtalat-o-imtazaj ka naam hai. Yah ossi tara se hota hai jis taramonh se nikalta aur kanoon ko sonaee daita hai. Dahan seakhraj hi kay baad mukhtalif mafaheem kay sath ravaj pa jatahai. Yah bhi kah dehan se akhraj kay baad aawazoon kay ismonazam aamaizay (lafz) kay talafzaat/talafaz teh patay hain.Kayoon'kah talafzaat/talafaz kay teh panay main ashkas kayaalaat-e-notaq aur moawan aalaat-e-notaq ka amal dakhal hotahai.Lafz dar'haqiqat os alaqah ya khitah kay qudratimahool-o-halaat, mosam aur ashkas kay tehzibi, samaji, siyasi,imrani, moashi, jamalyati wagherah kay mazaj ravaeoon aur
andaz-o-atwar ki namaendgi kar raha hota hai. Is ka vajood(haiat) aur istamalaat ashkas kay niji-o-ijtamaezooq-e-fikar-o-nazar kay sath sath nafasyati kaifiyaat ko aiaankar raha hota hai. Likhtay samay wo shakas/ashkas ya qoom kinhalaat aur zehni-o-fikri kaifiyaat se guzar rahi hai. Lafz yah bhiwazay kar raha hota hai kah yah tarkeeb-o-tashkeel aur tarteebpatay waqt kin kin ravaeoon mazaji haltoon hajtoon zarortoonrujhanoon aur nafasyati kaifitoon ka bar-e-giraan apni zaatmain samoay howay hai. Lafz is amar ki bhi nishandahi kar rahahota hai kah os alaqah kay logoon ka rehan-sehan kaisa hai auroon kay jamalyati andaz-o-atwar kis tara aur kis andaz kay hain.Ashya ki tanzeem-o-tarteeb aur tazein kaisi hai.Lafz ka ta'aluq bolnay likhnay sonnay aur samjhnay se hai. Herchahaar ommoor alag alag suratoon aur haltoon se wabastah
hain. Boud-o-tafawat ko kisi sata par nazar andaz karnamumkin hi nahain hota. in charoon kay hawalah se mafaheembhi omomun aur khasusan alag alag sefaat kay hamil ho saktayhain.Zabanoon/bolioon main aawazoon ki kami baishi ka ta'aluqna'siraf os alaqah kay ashkas kay aalaat-e-notaq aur moawanalaat e notaq se hota hai balkah os alaqah kay qudrati mahoolaur mosamoon se bhi hota hai. (Qudrati aafaat balkhbazaat-e-khud shkas bhi kharai ka sabab bun sakta hai) jin kayzair-e-asar aalaat-e-notaq tashkeel patay hain. Tamam zobanoonya bolioon ki ibtadaee aawazain ginti main eak jitni nahainhotein aur na hi aisa hona mumkin hota hai. Baqaedah (Mufrad)aawazoon kay sath sath aur tara ki aawazain raza'karana tourpar apnay hissah ka kidar ada kar rahi hoti hain. inhain
baqaedah aawazoon ka darjah hasal nahain hota aur na himadrasay may in ki taleem di jati hai.Udu ki baqaedah 36 aawazain hain laikin tein tara ki aawazain1. marakab2. alamti3. bhariboltay aur likhtay waqt kaam kar rahi hoti hai. Yah ginti mainshamar nahain hain laikin izhaar main in ka bara aham aurzarori role hota hai. Arbi tein tara1. Bonyadi2. Marakab3. Alamti, aawazoon ki hamil zoban hai. in donoon kay bar'akas
Angraizi dou tara1. Ba qaedah2. Morakabaawazain rakhti hai. Her zoban ko apnay zakhirah kay tehat hiizhar kay moamlaat ko teh karna hota hai. Zarori nahainmohajar alfaz kay liay hi in moavan/raza'kar aawazoon kizarorat mehsous hoti hai bal'kah issi walaet main hi in ki zaroratdar'paish rehti hai. Goya yah bunyadi aawazoon ki kamyoon kopura karnay main musbat kirdar ada karti hain.Aawazoon kay ba'az ikhtalafi moamlaat koee hairat ki baatnahain hain bal'kah yah to zoban ki taraqi main oxsigan kadarjah rakhtay hain. Alaqaee mahool-o-halaat aur mosamoon
kay zair-e-asar aawazoon ki kami baishi ka maslah paish aatarehta hai. Issi tara bohat sari aawazoon main fitri ishtaraak bhimojood rehta hai jo shakas kay nafasyati aur fikri ishtaraak kabaiyan sabot hai. __________________________________ Mofrad aur murakab awazain Aawazoon kay tashkeel panay aur oon kay izhar-o-akhraj kata'aluq shakasi aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq say hotahai jab'kah oon kay tarkibi-o-takhliqi amal main motalaqa khitakay qudrati mahool, halaat aur mosmi suratoon ka amal dakhal hota hai. Yah aawazain hi haroof-e-tahiji ka naam/roop hasal karti hain.
Her aawaz jahan jazbaat-o-ihsasat aur khayalaat ki namaendahoti hai wahan os khita kay qudrati mahool aur mosmi halaat kibhi namaendgi karti hai. Motalqa vasaib jab dusri (Qurb-o-jawar aur badaisi) valaetoon say insalaak ka sazawar hota hai towahaan kay khayalaat (jo os alaqa kay hawala say tarkeeb pa'ayhotay hain) os khita ki zoban kay hawala say mahajrat ikhtayar kartay hain. Mamasal aawazoon kay hamil alfaz ko mahajrat kartay samay kisi qisam ki diqat ya dushwari paish nahain aati jabkah adammojood aawazoon kay moamla main os alaqa ki boli/ zoban jo os alaqa say makhsous hoti hai, ki motbadil maravja aawazain ya marakab aawazoon say maslay ko hal karnay ki koshesh ki jatihai. Is koshesh main mahajar lafz, Haiti (form) hawala say kuch ka kuch ho jata hai wo apni valaet kay liay bhi ajnabi ban jata hai. Maslan: Vote Urdu main yoon batoor jama istamal ho ga: woh 2 hazar
votoon say jiat giya.Vote Punjabi main yoon batoor jama istamal ho ga: O 2 hazarvotaan nal jit giya.Advasain, horain aisay alfaz Angraizi aur Arbi kay liay manousnahain rahay laikin yahaan mostamal hain.Yah sab aam aur omomi halaat kay tehhat vaqo main aata hailaikin jab mahajar zoban batoor hakam os khita main dakhalhoti hai to bhi os ki tamkanat aur nakhwat barqarar nahain rehpati kayoon'kah ossay daisi zoban ki her hal main ongli pakarnahi parti hai. Haan albata tabdilioon ki rafter taiz zaroor ho jatihai. Agli satoor main kuch mofrad aur kuch marakab aawazoonsay mota'aluq misalain paish ki gaee hain ta'kah daraj-e-balamorozaat ko samjhnay main kisi haad tak aasani rahay.C batoor Kaf AngraiziDaisi
Kalas Class Kalaj Collegekoras/kors Course Karij Courage Kalath Cloth Car
Kar Cross Karas Court kort Cotton katanC batoor Seen City Siti
Circle carkal C batoor Chay(c, h kay sath marakab ho kar chay ki aawaz daiti hai) Arbi Chamber chambar jhambar, sambar, shambar Challenge chailanj jhailanj , shailanj, sailing Chief cheef jheif, sheif, seif Chair chaiar jhair,sair, shair Check check jheck, sheck, saik Chart chart jhart, jhart, sart, shart U ki aawaz alamti aawaz paish kay liay: Put, bull U ki aawaz alamti aawaz zabar kay liay: But, cut, hut, shut, dul S seen ki aawaz kay liay
Possible, simple, sleep, sample, rest, best, host, hospital, school Marakab ho kar zal/zay kay lay: Se Imposes, cause, increase, decrease Daisi shakal: Impoz, kaz, dekreez, inkareez So dissolve, resolve Daisi shakal: Dizolv, rezolv Sheen Angraizi main nahain sh marakab ho kar yah aawaz paida ki jati hai:Should, shoe, sheet, shade, shed, shall, show, shift, shop, shirt, short Daisi alfaz Shoukat, shan, shoal, shaker, sharheel, shagird Gh ghain kay liay Angraizi alfaz
Ghost, ghoul, ghetto, gharry,, ghastly, gherkin Daisi alfaz Ghalib, ghair, gharoob, ghamazi, gharqa, gharoor, ghossaChay angraizi main batoor mufrad aawaz mojood nahain issay ch say ada kya jata hai: Chester, change, charge, chamber, chair, chief, chair Daisi alfaz Chabi, chithi, chori, chara, chaku, charind waghera Arbi main j, jh, sh, s motbadil aawazain ho sakti hainKhay mofrad ya marakab aaawaz Angraizi main dakhal nahain. Arbioon kay zair-e-asar Arbi kay alfaz Angraizi main dakhalhoway hain laikin is kay liay kaf+dou chashami hay say talafaz kiya jata hai. Talmood main khay kay liay ch ka marakab istamal kiya giya hai. Zalikha kay liay zelicha likha giya hai. Chay kay lihaz say lafz zalicha banta hai ho sakta hai qibti qabila main chay ki
aawaz rahi ho aur hamaray haan kh ravaj pa giya ho warna Arbi main chay ki aawaz siray say mojood hi nahain. __________________________________Urdu ki char aawazainAlif mada Aa Pakistan ki kisi zoban main batoor haraf-e-tahijishamil nahain laikin is ka istamal batoor haraf hota hai.Bachoon koAa alif mada aamSchool main parhaya bhi jata hai. Is say alfaz ka aaghaz bhi hotahai. Kuch lught main issay haraf shamar bhi kiya giya hai.mad Arbi say Urdu main daramad howa hai laikin Arbi mainharaf kay toor par istamal nahain hota. Moamla darasal yah hai
kah her haraf ki zati eak aawaz hoti hai laikin Aa dou aawazainhain (Alif + alif, Alif + zabar, hamza + zabar). Roman lipi mainissay Aa say ada kiya jata hai.Aein Arabic say Pakistani zobanoon main warid hoe hai. Is kayistamal ki ziyada'tar tein suratain milti hain;1- Aein + alif Aa (Aein ki zabar shumar karnay say tein aawazainbanti hain.2- Aein + zabar Aa zabar kay sath bhi taqriban Aa ki hi aawazpaida hoti hai.3- Darmiyan main aa kar apni shanakht zahar karti hai. RomanLipi main a say wazaykartay hain.Hamza Arbi aawaz hai. Pakistani zobanoon main is ka mukhtalifhawaloon say istamal hota hai aur aawazoon ki mukhtalifsuratan parnay sonnay ko milti hain ta'hum is say kisi lafz kaaaghaz nahain hota.
Hamza + zabar, alif + zabar AaHamza + zair, alif + zair Ay/ai/eeHamza + doo zabar UnHamza + doo zair inHamza + yay Eie/ee maslan aae (yahan single e ko ee parha jaaygaHamza + doo paish, Alif + doo paish= oonHamza + meem, Alif + meem= imHay maqsura opar hamza = aiWao + opar hamza = ooYay bari + opar hamza = ayHay + opar hamza = zeim (Pakhto)Noon ghona, noon say hat kar aawaz hai. Issay Arbi noon kishakal samjah jata hai. Yah aawaz Faesi say daramad hoee hai.Shumar main nahain laikin apna bara mazboot mutharakkirdar rakhti hai. Is ki jar main gonj ki aawaz hai. Is kay istamal
ki omomi tein suratain hain:1- Mi'koon, saan'koon,2-Sanwal (N likhnay main noon laikin bolnay main noon ghona)3- horainyay Arbi ki bari aham aawaz hai. Is ki maktobi tein suratainhain:1-choti yay maslan:sadgi, abadi, hadi2-bari yay maslan:aaway, jaway, marayhamza kay sath bhi mostamal hai maslan: ja'ay aa'ay, paay3-Nichay doo noqtay laga kar maslan: yaad, yawar, yasar, yaqoobwagheraAgli satoor main in panchoon aawazoon say motalaq mukhtalif
zobanoon kay alfaz batoor missal daraj kar raha hoon ta'kahmorozaat-e-bala ko samjhnay main kisi haad tak madad milsakay aur mazeed guftagu kay darwazay khul sakain.AaUrdu: aaj, aadab, aas, aasan, aag, aam, aant, aansoaasthan, aasha, aashram, aakash, aamavasFarsi: aab, aabad, aabro, aabla, aazar, aazad, aarzo, aatesh,aarasta, aaramTurki: aagha, aal (surakh rang)Punjabi: aapat, aapsi, aapoon, aalocha, aakhiri, aakhirla,aakhirwan, aasay pasayBalochi: aayan (onhain), ji aao (ji haan), aasan (loha), zard aaloKhobani), aasak (Hiran),aayani (oonka), aadeem (mairay)Pushto: aafridi, aakhsal, aawardal, aavaizandoolArabic: abnaa, bimaashaa
Israaeil, batoaaenoha, hadaaeqa, olaaeqa, samaae, maaen,Dua'aaunSowaaaon, asmaaaonAakhir, aakhrat, aaghaz, aasar, aabnousMaal, qaal, maabAein ki dhohri aawaz:Aein+alif aaariz, aj (aein+zabar+alif+jeem), afiat, aqbat, aad, ajaeb, anasar,alaqaAein +zabar aa ajabDarmiyan main aa kar khalat, ta'aluq, mota'aluq, sama'at,shuja'atHamzaUrdu+Farsia-Pehlay lafaz kay akhri haraf (hay maqsora) kayo par hamza
dal kartana-e-aghyar, tofa-e-mahboob, jama-e-mahboob,qatra-e-shabnum,reshta-e-olfatb-pehlay lafz kay aakhri haraf (bari yay) kayo par hamza dal karja'ay majra, ja'ay andaisha, ja'ay itraz, ja'ay ozar, ja'ay rihaesh,ja'ay panahshabha ay zulmat, shabha ay faraq, shabha ay hijraanc-Aao, jao, aa'ay, ja'ay, aa'ee, khao, kha'ay, khaeed- pieo, sieo, jao, sanao, bataoBalochi ji aao, sari aa pushst aa(hamza opar zabar), (hamza opar zabar)zoti aa (hamza opar zabar)niyam aa (hamza opar zabar)hamza opar zabar bamaeni ko
Pushto kursae (yay kay opar hamza), boba'aee yay kay oparhamza), obaee(yay kay opar hamza)hay kayo par hamza say pushto haraf zeim banta hai jis say zayki aawaz nikalti hai maslan varzeimkoray, aakhri yay par hamza daltay hainwalay ta en(Akhri hay maqsora kayo par hamza aur hamza kay nichay zairdala jata hai)sabaoonaawardel (alif mada+wao+ray+dal (opar) hamza+lamBaravi mosam ae (hamza kay nichay zair), zinda ae (hamza kaynichay zair),Sardar ae (hamza kay nichay zair), ghareeb (hamza kay nichayzair),thaikri ae khuda aa (aa, hamza kayo par zabar), neem roch aa
Arabic abna,aa'aa, bimashaaEsraaela, yomaezin, olaeka, hadaaeqa, samaaeYoodo,DuaanMaaen, shaenSawaaon, asmaaonDaem, qaemNoon ghonaAawaizaan, badandaan, badamaan, kharamaan, charaghaan,darmaan,Shadaan, goraizaanBoraeaan, sachaeaanKharabiaan, khushaan, raqribaan, humdardiaan, sardiyaan,
garmiaan,Apnoon, biganoon, yaganoon, farmanoonAasiyoon pasiyoon, aapoonRataan, ghataan, akhaan, rakhaan, jarabaan, zataan,barataan,shabrataanDardaan, ortaanGoriyaan, poriyaanVotraan, spotraan, advaesaan,Dokhoon, sukhoon, purkhoonAkhoon, pakhoon, hathoon,Shakaetain, hakaetain, shartain, navazshain, sazshain, vazartain,amartain, baghavtain barkatainhorain, ortain, dardain, advasainYah ki tein maktobi suratain
Badi, t'aadi, taadi, khodi, shabiri, Baghdadi, faryadi, hadi, badliTahiyon, hisabiha, nohihay, asaina, mofsidain, yaqoobYaad, yabinda, yara, yawa, yagana, yazd, yakh, yakta, peer, pairBabo, yasa, yargha, yasawalYakka. Yakayak, yatra,Free, degree, sheFaryadi, shadi, yazdi, yazidi, samadi, samavi, dunyavi, dini, sadiYakay, akhri, jati, kati, tati, aasi, rajgiri, vadairi, adi, qurqiKhanay, thanay, mardanay, zananay, sarhanay, othanay,biganay, apnayJaay, aaay, saay, laay, paay, paraay, samaay, dhaayAagay, pichay, nichay, thalay, ballay, khalay, rajay, maharajay,karochaySaday, sidhay, qarzay, darjay, arzay, shakhasay,
Khaira, akhirla, char, chirya, chaila, baila, maila, chaila, kailacheilThu Jan 22, 2009 2:04 am __________________________________
Search
Read the Text Version
- 1 - 42
Pages: