URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLAKal telephone par mairi aur Dr Riaz Majid ki Urdurasam-ul-Khat ki tabdili kay hawalah say baat ho rahi thi. Oonka kehna tha :Urdu kay mojoda khat ko Roman khat main badalnay kisazashain chal rahi hain.Yah koee aaj ki baat hai, yah to bohat pehlay say ho raha hai.Mein soch main par giya kya aisa ho sakay ga aur yah behtar
aqdam hoga?!Is waqt Hindustani- hind'santani, hind'asthani(Urdu+Hindi) jodonyan ki dosri bari aabadi kay rabtay ki zoban hai kay teinrasam ul khat raej hain: 1- Nastaleeq, Arabic bara 'ay Urdu 2- Dav Nagri baray hindi3-RomanRoman her donoon, Urdu aur hindi alawa'azein dosray bolnayaur samjhnay waloon kay liay mofeed hain.Yah khat aaj say nahain, barsoon say mustamal chala aata hai.Is mozo par guftagu say pehlay eak baat wazay kar doon kahkoee zoban os waqt tak mar nahain sakti jan tak:
1- Os kay doo bolnay walay mojood rehtay hain ya eak bhisochnay wala baqi rehta hai.2- Eak likhnay aur eak parnay wala mojood rehta hai.3- Aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq tabadeel nahainho jatay.In tein batoun kay hawalah say mein yah kehnay ki pozishanmain hoon kah Hindustani (Urdu+Hindi) ko kisi qisam ka koeekhatra la'haq nahain.Urdu kay khat badalnay say kuch nahain ho ga aur na'hi aisa hosakay ga. Turki ki baat aur thi, is ka ta'aluq dou khitoon se haiaur wo zidain ki intaha par hain. Zidain par kaenaat kharihai. Zidain ka khatma goya kaenat kay khatam honay kaymotraduf hai.
Roman khat main likhi janay wali zoban siraf kitabi zoban hogi. Kabi bhi bool chal ki zoban na ban sakay gi. مثا وہ ج ٹ ہے ٹمہ را گھر کڈھر کو ہے۔Turki ka mojoda rasam-ul-khat bool chal ki zoban say laganahain rahta. Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota'alqsarmaya zaya ho giya hai laikin Urdu kay sath yah nahain hosakay ga. Urdu walay oon say mukhtalif zehan kay log hain yahpehlay ko Roman main tabdeel kar lain gay. Pehli baat yah kahRoman khat ko bara'ay bool chal qabool hi nahain kiya ja'ay gaya kya ja sakta ya is hawala say bai'haad mushkal ka eak arsa taksamna karma paray ga.Urdu 37 bunyadi awazoon par ostawar hai jab'kah aa aur
noon'ghona ko shamar main nahain rakha jata laikin yahaawazain kasrat say istamal main aati hain.In aawazoon kay elava 12 maha paran (bhay, phay thay waghera)tarriban itni hi alamiti awazain (zabar, zair, shad waghera)aur163 say ziyada morakab awazain istamal main aati hain. Yahsurat kisi eak alaqay tak mehdood nahain. Eak aam aadmiRoman khat kay zair-e-asar in aawazoon say kayoon'kardast'kash ho sakay ga. Za'ay farsi roman main likhnay kay liaykya kary ga. مژگ ں:ژAngraizi ko 1754 say omomi aur 1835 say khasusi toor par jabrizoban ka darja hasal hai. Kya yah awami maqboliat hasal kar
saki hai.Jawab yaqinan nafi main ho ga.Imtihanoon main na'kam honay waloon ki sab say ziyada tadadangraizi main hamaisha say chali aati hai. .Fazal Din dokandarya manay pakoroon walay ko is say kya laina daina. Zindgi kaykisi eak shobay main bhi ei ko koee moqam nahain mil saka. Logapni zoban aur lehjay main baat karkay ziyada farhat mehsouskartay hain. Roman rasam-ul-khat kay raej ho janay say logoonkay aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq badal nahain jaeingay. Lihaza is zimun main koee fikar ki baat nahain issaysansikrat ki tara kitabi zoban say ziyada darja hasal na ho pa'ayga. Ta'hum Dav Nagri khat aur Hind'santani(Urdu+Hindi)bolnay aur samjhnay waloon kay mabain rabatoon kay hawala
say is rasam-ul-khat ki hosla afzaee bora amal nahain.Is pehlou kay elawa bolnay kay zimun main koee khatar'nakanatija baramad na ho sakay ga aur yah main baray wasooqsay keh raha hoon aur is par her hawala say guftagu ki pozishanmain hoon. Roman rasam-ul-khat ka her hami jab chahaymairay sath is ziman main kisi bhi waqt guftagu kar lay.Sun Aug 31, 2008 6:45 pm_________________duaasalam 2 all!dr. sahb! first of all i wud like to say that it really feels good
whenever pure urdu is used n i really admire ur \"shusta aursakeel urdu\" as for as this topic z concerned, i'd only say thatagar aisa ho jae k urdu rasm-ul-khat ko roman mae tabdeel krdia jae, to urdu k readers ko jitni mushkil ho gi uska andaza ap kpost kie hue topics ko parhne mae lagne wali der n mushkil selagaya ja sakta hae!!! Smile plz dnt take it negatively. i really havethis point k roman mae likhi hui urdu parhna bohat mushkilkaam hae....Mon Sep 01, 2008 12:08 am_________________Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistani
punjabaap ki khasusi tovajo k liay mumnoon hoon.Allah sahib aap ko kush rakhy.Mon Sep 01, 2008 12:52 pm_________________ahmet2910Senior Member PakistaniYES I AGREE WITH YOU PEOPLEUNDER THE PRESENT RASM UL KHAT BOTH READING ANDWRITING URDU IS DIFFICULT
BECAUSE MOST OF THE ALPHABETS CHANGES THEIRFORM ACCORDING TO THEIR PLACE IN THE WORDFOR EXAMPLE, ALIF, LAAM, FEY, BEY, ETC ETCSO WHILE LEARNING TO READ OR WRITE ONE HAS TOLEARN ALL THESE FORMS OF A SINGLE ALPHABETAND THUS LEARNING BECOMES DIFFICULTTURKISH IN ITS PREVIOUS FORM USED TO HAVE THE SAMEPROBLEM, WHICH HAD LED TO REDUCED LITERACY RATEURDU CAN BE CONVERTED VERY EASILY TO ALPHABETSLIKE TURKISH LANGUAGE HAVE NOWITS NOT A BIG TASKI HAVE PERSONALLY DONE A BIT HOMEWORK ON THIS
SUBJECTI WOULD BE PLEASED TO SHARE WITH YOU LEARNEDPEOPLE THIS HOMEWORK OF MINEMon Sep 01, 2008 3:18 pm_________________ahmet2910Senior Member Pakistani[/quote]Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota alq sarmayazaya ho giya haiUNFORTUNATELY I DONT AGREE WITH THISOBSERVATION OF YOURStHE TURKISH NATION DID TAKE PAIN TO REWRITE MOST
OF THE OLD BOOKS, IF NOT ALL, IN THE NEW FORMMon Sep 01, 2008 3:22 pm_________________Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistanipunjabahmet2910 wrote:Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota alq sarmaya zaya hogiya haiUNFORTUNATELY I DONT AGREE WITH THISOBSERVATION OF YOURStHE TURKISH NATION DID TAKE PAIN TO REWRITE MOST
OF THE OLD BOOKS, IF NOT ALL, IN THE NEW FORMikhtalaf aap ka adbi aur asoli haq hai.wo sab ossay tara say na'ay khat main muntaqil nahain howaaur ya mumkin bhi nahin.aap ko is hawala say mazeed tehqeeq karni chahiay ta'kah mujhsay mamoli talib-e-ilm ko bhi faeda ho say.shukarreya janabMon Sep 01, 2008 7:49 pm_________________Note: ahmetاحمد عربی زب ن ک ل ظ اور آق کری ان پر ان حد درود وسا ک اس گرامی ہے۔ اردو رس الخط والے اسے اسی ت ظ کے س تھ بولتے ہیں۔ اahmet اور احمد فر
خود ہی ج ن لیں۔ رومن دال نہیں ہے۔ لکھ اور بوا ڈالسے ج ئے گ ۔ یہ ں د ک تب دل ٹ ہے۔ رس الخط کی تبدی یسے کی نقص ن ہوا‘ ق ری خود ہی لگ لے۔Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistanipunjabahmet2910 wrote:YES I AGREE WITH YOU PEOPLEUNDER THE PRESENT RASM UL KHAT BOTH READING ANDWRITING URDU IS DIFFICULTBECAUSE MOST OF THE ALPHABETS CHANGES THEIR
FORM ACCORDING TO THEIR PLACE IN THE WORDFOR EXAMPLE, ALIF, LAAM, FEY, BEY, ETC ETCSO WHILE LEARNING TO READ OR WRITE ONE HAS TOLEARN ALL THESE FORMS OF A SINGLE ALPHABETAND THUS LEARNING BECOMES DIFFICULTTURKISH IN ITS PREVIOUS FORM USED TO HAVE THE SAMEPROBLEM, WHICH HAD LED TO REDUCED LITERACY RATEURDU CAN BE CONVERTED VERY EASILY TO ALPHABETSLIKE TURKISH LANGUAGE HAVE NOWITS NOT A BIG TASKI HAVE PERSONALLY DONE A BIT HOMEWORK ON THISSUBJECT
I WOULD BE PLEASED TO SHARE WITH YOU LEARNEDPEOPLE THIS HOMEWORK OF MINEjanab ki tovajo aur mohabat mairay liay bari maeniviat rakhtihai.mein arz yah karna chahata hoon kitaboon k hawala say aisa hobhi giya to is ki koee ehmiat nahain ho gi. yah seiaf aur sirafsansikrat ki se zoban ho gi.logoon k aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq jo qudrat kiata hain oon ko kis tara tabdeel kiya ja sakay ga.Hind'santani (Urdu+Hindi) ki aawazoon ka apna nazam hai auryah yahaan ke logoon say wasta rakhta hai.donyan ki koee zoban aawazoon k ehawala say Hind'santani
ka moqabla nahain kar sakti aur mein apnay is biyan k hawalasay her tara ki guftagu ki pozishan main hoon.aap nay tovajo farmae is k liay aap ka bohat bohat shukarreya.Allah Sahib aap ko kush rakhay.Mon Sep 01, 2008 8:00 pm_________________I K QAZIModeratorGermanyHumari majboori he ke hume Roman Urdu me iss Forum parlikhna parrtha he QK hume nahih mahloom ke kaise Urdu Rasm
Ul Khat me likhte hain warna tho jo maza Urdu ko asli rasm ulkhat me parrne likhne ka he, wo roman me kahah.Hume konsiaisi zaroorat parr gayi he ke hum Urdu ka Rasm ul khat tabdeelkareh \"Original Is Original\".Meri Maadri zabaan Pashto he,meAngrezi schooloh ka parra huwa hoon lehkin chunke mujheUrdu achi laghti thi iss liye Muthaleha kartha raha aur iss ko aisizabaan paya ke jiss me khud ko behter thor se, apne khayalaataur jazbaat ko bayaan (Express) kar sakthe hain.Har aik cheezke liye dilchaspi ka hona zaroori hotha he,aur jab aap ko kisicheez se lagao ho ga aap uss ke liye koshish kareh ge seekne kiaur issi tarrah dilchaspi barrthi jaye gi.Siway Turkiyo ke mujheyaad nahih ke kissi aur Mulk ya Qaom ne Murawaj rasm ul Khattabdeel kiya ho.Jabke Turki me ye iss liye waqya pazeer huwa ke\"Zabardast Ka Jabbar\" tha aur ussi ke yaani ATTA TURK ke
complexes aur Arabioh se nafrat thi (Nahi nasal ke liye kohidoosra raasta nahih tha ya uss se unn ko waqfiyat aur raghbathe)no other way left & no alternative.Me samajhtha hoon keUrdu humare liye bahami raabthe aur apna \"mahfi ul zameer\"wahzeh thor par bayaan karne ka zariya ban chuka he aur iss kisaari khubsurati bhi iss ke Arabi rasm ul khat ki waja se he.Issise hum mahnoos bhi hain aur issi me hume lutf bhi aathahe.Yahah Germany me har 20 Km par lahja aur dialect (Boli)change ho jathi he (Aisa humare Pashto zabaan aur hilaqoh mebhi he,siway Adabi Pashto ke) lehkin meri hat al wassa koshishthi aur he ke humesha \"Hoch Deutsch\"(High German yaaniAdabi Germani) me ghuftagu karoo jis se taleem yaafta tabaqepar aik musbat assar hotha he.Issi tarrah hume chahihe ke humapni Qomi zabaan ko ahmiat de,lagan se iss ko seekhe tab hi iss
ki ahmiyat humare dilloh me barre ghi.Me tho iss cheez ka nasirf qahil hoon balke iss par hamal bi karne ki koshish karthahoon ke aadmi apni asaliyat se pyar kare balke uss par fakharkare,usse issi tarah qabool aur maqbool kare jis se ke uss kiinfiradiyat aur ahmiyat barqarar rehthihe.Ghalib,Iqbal,Faiz,Faraz Etc ko Roman me parrne mo lutf thonhih mille ga jo Asal rasm ul khat me he aur jis se apnahiyat kaahsaas bhi zinda rahtha he.Apnicheezoh,asliyat,Tehzeeb,zaban,Aqdaar waghaira se pyar karreh.Tue Sep 02, 2008 5:22 pm_________________Dr Maqsood Hasni
Senior Proud PakistanipunjabShukarreya janab, aap nay is hisas moamlay ki taraf purimohabat se tovajo farmae.Mein seraf itna araz karma chahata hoon kah her cheez kayapnay taqazay aur apni zarotin hoti hain ohain onhi kayhawaloon say daikhna ziyada zarori faeda'mand hota hai. Oonkay liay koee dosri ainak istamal main laein gay to masla olajhtachala ja ay ga.Mein qatan yah nahain kehna chahata kay roman rasm-ul-khatkhatam kar diya ja'ay yah sadyoon say raej chala aata hai. Is kizarorat hai is liay issay barqarar rehna chahiay. Aaj kay ehhad
kay hawala say is ki teen zaroratain hain:a- Net par word main ziyada tar likha jata hai.b- Dev Nagri waloon say is kay hawala say rabta rehta hai jointahaee zarori hai.c- Dusri zobanoon walay jo boltay aur samjhtay hai.n Yah oonki bhi zarorat hai.Mazay ki baat yah kah donoon group (b, c) alfaz ki aawazoon koasal lehjay hi main bolain gay. Roman main toay aur tay kay liayt mustamal hai. Tara ko toay say hi samjha ja'ay ga. Baat kayliay t ko oski asa; aawaz say hi samjha aur bola ja'ay ga.Japani main char tara kay lisani nazam raej hain (1- hiragana 2-katakana 3- romji (romanji) 4- kanji) zoban par kya faraq parraha hai?
Kusch bhi to nahain.Hind'santani (Urdu+Hindi) kay bhi 3 khat 3 hawaloon saymojood rahain gay to kya qiyamat toot paray gi aur kya noqsanho raha hai jis ka azala na ho sakay ga?!. Yah 3noon hawalay seapna vajood aur jawaz rakhtay hain.Aap daikh lain Pakhto ki pasnch zati aawazain hain:a1- seem2- khein3- ziemb4- gay5- narRoman main in ki mutradaf aawazain kahan say laein gay. Gher
Pakhtonoon kay/say Rabtay kay liay roman khat ka istamal hotahai to koee haraj nahain laikin pukhtonoon kay apnayaalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq hain is liay oon par yahkhat kayoon'kar impoz kiya ja sakta hai. Yah mumkin hi nahainkah oon kay liay roman khat koee natija samnay la sakay ga.Note:Haan gher'push hazraat ke liay roman gher mofeed nahain.likhaee ke liay tabadal awazaoon se kaam chalya ja sakta hai.Tue Sep 02, 2008 9:19 pm_________________I K QAZI
ModeratorGermanyVery right, thankfull to you for your work & concideration. BusHumari zabaan he, hume iss ko issi tarah qabool karna chahiyeaur iss ki iss ki apni mojhuda hahiyat me hi iss ki tarweej karnichahiye.Pakhto (Pushto) ke muhtaliq aap ne teek kaha he, ab kalko loag hum se kahe ke Pashto ka Rasm ul khat bhi tabdeel kardeh tho ye tho na munasib taqaza ho ga.Keep it up wellcontributed.Wa Assalam Ramazan Mubbarak.Thu Sep 04, 2008 6:16 pm_________________
Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistanipunjabjanab monasib ya na'monasib ki baat hi nahain, baat aawazoonki aadaegi ki hai.urdu ki choti aawaz aur toay k liay siraf t hai. angraiz ki tomajbori hai laikin urdu bolanay walay ki kya majbori hai.iesi tara pakhto ki 43 aawazoon main say baish'tar aawazainkahan say aaein gi. morakbaat masla hal nahain kar saktay. woto eak haad tak sath daitay hain.aap ki tovajo k liay mumnoon hoon.
Allah Sahib aap ko kush rakhay.Thu Sep 04, 2008 8:51 pm_________________Note:احمد محمدYah dou isma arbi ke hain aur Aaqa Karim Oonn par un'haaddarood o salam ke naam hai roman main دko d se likhnamairi majbori ho gi laikin issay d se bolnay ka sawal hi paidanahain kayoon'kah mein دbool sakta hoon. Bolnay kisalahiat rakhtay howay nahain bolta to yah tohein ke zomraymain aa'ay ga.I K QAZI
ModeratorGermanyDr.Sahab hum to huwe aam loag ye tho aap doctaroh ka kaamhe ke hamali taor par iss ke liye kaam kareh.Hum tho sirf Sara hisakhte hain beech ki gehrahiyoh ka idraak hume tho nahih hosakta aur na hi hum iss qabil hain ke adabi taor par iss mecontribute kar sakhe.Litrature aur thesis ka kaam tho uss zabanpar kaam karne walo ka hota he.Hum tho tehre \"PathroWale\"(Gemology) be adab.Jin bareekiyoh ka zikar aap ne Pashtoke mutahliq kiya he uss ka bhi Ilm mujhe ziyada nahih.Anywaykeep it up we can learn a lot from you.Wish you all the best.Sat Sep 06, 2008 4:27 pm
_________________alisarwarMAY BE THE WILL CALL IT UDRU NOWSat Sep 06, 2008 5:10 pm_________________Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistanipunjabinayat khan qazi wrote:
Dr. Sahab hum to huwe aam loag ye tho aap doctaroh ka kaamhe ke hamali taor par iss ke liye kaam kareh.Hum tho sirf Sara hisakhte hain beech ki gehrahiyoh ka idraak hume tho nahih hosakta aur na hi hum iss qabil hain ke adabi taor par iss mecontribute kar sakhe.Litrature aur thesis ka kaam tho uss zabanpar kaam karne walo ka hota he.Hum tho tehre \"PathroWale\"(Gemology) be adab.Jin bareekiyoh ka zikar aap ne Pashtoke mutahliq kiya he uss ka bhi Ilm mujhe ziyada nahih.Anywaykeep it up we can learn a lot from you.Wish you all the best.aap nay is say pehlay khoob khoob likha hai.aap ki shirkat say bari madad mili hai.likhtay rahain.shukarreya janab.
Sat Sep 06, 2008 6:12 pm_________________Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistanipunjabalisarwar wrote:MAY BE THE WILL CALL IT UDRU NOWkindly zara khul kar baat karain,shukarreya.
Read more:http://www.forumpakistan.com/urdu-kay-rasam-ul-khat-ki-tab dili-ka-masla-t14907.html#ixzz4Fh7lYiQ3 URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
Maqsood HasniAbuzar Barqi Kutab'khana July 2016
Search
Read the Text Version
- 1 - 34
Pages: