Important Announcement
PubHTML5 Scheduled Server Maintenance on (GMT) Sunday, June 26th, 2:00 am - 8:00 am.
PubHTML5 site will be inoperative during the times indicated!

Home Explore Why Not Me A feeling of Millions (Hinglish) (Anubhav Agarwal)

Why Not Me A feeling of Millions (Hinglish) (Anubhav Agarwal)

Published by EPaper Today, 2023-01-11 04:22:37

Description: Why Not Me A feeling of Millions (Hinglish) (Anubhav Agarwal)

Search

Read the Text Version

["Mujhe kaafi convince kiya jata tha dusri ladkiyo ko dekhne ke liye. Pawni har baar kisi nayi ladki ko point kar ke puchti thi, \u201cBro, yeh kaisi rahegi? Sundar hai, dekh le, kya mast jodi hogi tum dono ki.\u201d Pawni khushi se puchti. \u201cAbey oh! Jeevansath.com Bhai band kar tera ye marriage beuro. Apne single hi theek hain, jab koi achhi ladki milni hogi, mil jayegi. Chain ki saans lene de ab.\u201d Main ussey irritate ho kar kehta. Aisi baatein, hasi mazaak chalte rehte the humare, magar phir ek din. Yahi koi raat mein 9:43pm baj rahe the. Ek haath mein coffe ka cup liye, main apni Instagram ki feed scroll kar raha tha. Tabhi achanak mere phone par ek notification aayi. \u201cNew WhatsApp message from Zoya\u201d Mujhe apni aankho par vishwaas hi nahi hua ki, aakhir ye kaise possible hai. Zoya khan ne mujhe message kiya? Itna guroor tha ki, kabhi wapas mud ke nahi dekhti thi us insaan ko jise ek baar peeche chhod diya. Aaj unka message mere paas kaise. 10 minutes tak main us notification ko yuhi hold karke sochta raha. Phir maine neeche kar ke dekha toh, \u201cHey\u201d tha. Maine bahut socha ki, \u201cKya mujhe reply karna chahiye?\u201d Phir socha ki, \u201cChalo dekhte hain, aaj itne mahino baad kya hai unke paas kehne ko.\u201d Maine unhein reply kiya. \u201cHi\u201d Ek bahut simple sa reply kiya. \u201cKaise ho tum?\u201d Ghar par sab kaise hain? Mummy, papa, bhaiya, bhabhi?\u201d Unhone ek hi message mein sab pucha. Mujhe laga, aaj achanak inhein kya padi hai sab ke haal chaal lene ki.","\u201cSab theek hain, aap bataiye, mummy, bhai, sab kaise hain?\u201d Maine bhi formality mein puch liya. \u201cSab badiya hain.\u201d Unhone smile karne wali emoji banate hue bheja. Phir maine unhei koi reply nahi kiya, kyunki mujhe samajh hi nahi aa raha tha ki, aakhir kyun aayi hain ab wo laut ke. \u201cActually mujhe kuch kehna tha tumse.\u201d Zoya ne phir se message kiya. \u201cHan bolo?\u201d Maine pucha. \u201cHumne pyar ke chakkar mein apna bond kharab kar liya, shayad dosti se zyada achha koi rishta nahi hota. Kya hum phir se dost ban sakte hain?\u201d Unhone mere aagey dosti ka haath badhate hue pucha. Dosti? Kis baat ki dosti? Ek achha aur bharosemand insaan banna padta hai dosti rakhne ke liye, aur ye mujhse dosti mangne aayi hain aaj. Mujhe us message ko padh ke itna gussa aaya. Pure 4 saal ki picture mere samne aa gayi thi ki, kaise mujhe dosti ke liye itna tadpaya gaya tha, kaise pyaar kiya gaya tha, aur phir kaise dhoka de kar berehmi se dil toda gaya tha. Aaj main agar is insaan ki dosti bhi apna lunga na, toh meri izzat puri tarah se khatm ho jayegi. Main kaise bhul jau ki, is insaan ne mere saath kya kuch nahi kiya tha. Kaise insaan ka dost ban jau. Woh message mere samne tha, woh online thi, wo intezaar kar rahi thi is message ka jo ab main unhein bhejne wala tha. Unhone socha hi hoga ki, shayad iski apni koi izzat toh hai nahi, iske saath jaisa suluk karlo, ye kabhi na toh kahega nahi, aakhir pyaar karta hai, pyaar insaan ki kamzor jo hoti hai. Itna sab kuch sochne ke baad maine, bahut himmat kar ke maine apne dono anghute aagey badhaye, keyboard pe type kiya, \u201cNO\u201d","Aur bhej diya...","A note from the author Yeh thi meri kahani, aur shayad kuch hissa aapki kahaani ka bhi. Main apne aap ko nikaal paya us daur se jab Zoya ne mujhe chhoda tha. Lekin, ho sakta hai, aap abhi bhi fase hue hoge, us dard ko bardash kar rahe hoge jo dard aapke apno ko khone se mila. Aap apne zakhmo ko aur khud ko, theek hone ke liye wo waqt dena hoga, tab tak koi galat kadam mat uthana. Zindagi mein kabhi bhi ek aisa kadam nahi uthana chahiye, aisa kadam jo na sirf aapko hurt karega, balki aapki family, friends aur sabhi logo ko karega, jo aapke apne hain. Ho sakta hai aapke andar ab jeene ki ichha bhi khatm ho rahi ho, lekin yahi wo waqt hai jab aapko ummeedein barkarar rakhni hain. Aakhir mein sab theek ho jata hai, aur jo aapke liye best hai, wahi hota hai. Waqt ko thoda waqt do, sab theek ho jayega. Apne dard ko apni taakat banao, jo bura hua ussey seekho, aur apni zindagi mein aage badho, bina give up kiye."]


Like this book? You can publish your book online for free in a few minutes!
Create your own flipbook