Sikh Silsala-Eak MotalaMashraqi Punjab donyaan ki bohat bari aabadi ka khita hai.Zara'ay aur wasael-e-qudrat kay hawala say bhi donyan kay kisikitay say kisi tara kam nahain. Is alaqa kay moqimi hazraatHazrat Goru Nanakji Dev kay pairu'kar hain. Mazajun auradtun sachay sochay kharay baat kay pakkay aur haad darjajafa'kash hain. Dast-e-sawal daraaz karna, oon ki adat aur fitratmain dakhal hi nahain. Onhain alag say koee
mazhab/dharam/ism kay log samjh liya giya hai ya oon kipehchan kisi alag say dharam kay hawala say ki jati hai.Sikh kay maenisikhnay wala,jan'kari ka talib,aaghi kay amal say gozarnay wala, jo honar sikh raha ho, talib-e-ilm wagheraHoonar dainay walay kay liay yahaan lafaz Nabi ya Rasool siraysay mostamal nahain. Honar ya aaghi dainay walay kay liayziyada'tar ostad aur goru alfaz istamal main aatay hain.Goru woh jo gur janta ho,atkal say waqaf,
tajarba'kar,kisi okar main os okar say bach nikalnay ka rasta batanay wala,hal nikalnay wala,hadait dainay wala kah yoon karo aur yoon na'karo, murshad,ostad waghera maeni mostamal hain.Agar Goru aur Sikh ko aam feham zoban main kaha ja'ay toostad shagid kaha ja sakta hai.Bawar rehna chahiay kah Ostad rohani baap ka darja rakhta haiis liay gor sikhanay kay hawala say liya ja'ay to baad'diyanti ki ossay towaqo nahain ki ja sakti.Is garo kay haan dou chizain bari wazay nazar aati hain1- Toheed jo adyan ki konji hai
2- Tasawaf jo taharat aur tariqat ka la'jawab zariya-o -wasila haiYah garo donyaan kay kisi mazhab kay qareeb ya taqribanqareeb nazar nahain aata. Haan samaji masharti ya moashihawala say kahein kah mamaslatain nazar aati hain to yah koeealag say ya naee cheez/baat nahain aur yah vasaibi qorbat kanatija hain.Pakistan kay moqimi Esae mazhab ki bohat sari rasomaatmosalmanoon ki se rakhtay hain is kay ba'vajood woh Esae hihain. Bohat saray mazhabi kalmaat oon kay haantakya-e-kalaam main bhi dakhal hain. Is kay ba'vajood oonhainHazarat Esa (AS) kay pairu honay ka dawa hai aur woh hai.Is vasaibi sanjhoon kay sabab sikhoon ko Hindu ya Hinduism
kay mota'aluq qarar nahain diya ja sakta yah sara sar zulm aurziyadti hai.Asal haqiqat yah hai kah yah log Sufi silsalay say mota'alaq hainaur is silsalay kay bani laeq-e-izzat-o-ehtaram Hazrat GoruNanak-ji Dav hain.Mohammad Aasaf Khan nay Bhai Gordas (1559-1637) kayhawala say kaha hai :\"Goru Nanak ji he odasi (safar) samay asa (lath) hath tay kitabkach rakhday san. Ais kitab vichooh apniyaan rachna toon wakh bhagtaan tay sufiyaan dakalaam daraj kar day san\"(1)Agar koee onhain goru Nanak keh lay ya Sufi Nanak keh lay yaSheik Nanak keh lay is say kuch farq nahain parta.
Onhoon nay Makka ka safar ikhtayar kiya baghdaad mainqayam farmya.Jumla Sufya kay silsalay Hazrat Mohammad (Oon parDarood-o-salam) ki taraf phirtay hain aur Aap (Oon parDarood-o-salam) ki mohabat oon ka matma-e-nazar qarar patihai. Bilkul issi tara Guru Garanth Sahib ka her shabad Sufiya kitaraf safar ikhtayar karta nazar aata hai. Agar Sufiya Musalmanaur rohani paishwa hain to Sikh Baradri ko aur os kayMohtaram aur Laeq-e-izzat Goru Sahiban ko kis asool aur rulekay tehat Kafar kaha ja sakta hai.Her Sufi guru apnay libas aur nazaryati toor par apni alag sayshanakht rakhta/qaem kata hai. Yahhi Surat Goru GaranthSahib say motalaq logoon kay sath nathi hai. Baba Fareed Sahib
(R) kay shalok aur Shah Hussain Sahib (R) Lahori ki kafiyaanmosalmanoon kay haan mohtram hain ossi tara Sri GaranthSahib ka her shabad Toheed aur tasawaf say labraiz nazar aatahai is liay wo mohtam hai. Is silsalay kay log sikh kehlatay hainjabkah yahhi surat digar silsaloon kay sath bhi paivast hai.Maslan silsala Qadarya, Silsala Chistaya, Silsala Soharvardiya,Silsala Shitarya waghera.Sufiya Karam kay rohani amal ko jari rakhnay kay liay oon kayKhalifa/Gadi'nashein/Divan Sahiban kay namoon say malqoobhazraat moqarar hotay rehtay hain aur is tara yah silsalayjari-o-sari rahay hain aur yah amal sadyoon par moheet nazaraata hai. Sikh silsala kay bani Harat Goru Nanak Dev/HazratSufi Nanak Sahib kay silsalay ko jari rakhnay kay liay HazratGoru (Khulfa) Sahiban tashreef latay rahay aur onhoon nay
sikhnay/shiksha kay amal ko jari rakha. In Sahiban ba'safa nayGoru Garanth Sahib ki tadvein bhi ki, is main la'jawab azafay bhikiay. Goya oon kay mohtram shabad Goru Garanth Sahib kaypannoon ki zinat banay.Hazrat Syedna Zain-ul-Abidein (AS) nay jani doshman kihaad'darja mehman navazi ki. Is liay mehman'navazi aurkhatar'dari ko kisi kay din'dar honay ki vaja qarar nahain diya jasakta. Yah amal salamti pasandoon (Muslamanoon) kay haanaisi koee naee baat nahain. Hamait, is say bilkul alag cheez hai. Issilsalay kay eak Goru Sahib ko Syedoon nay na'siraf panah dibalkah oon kay moaqaf ki hamait aur takreem bhi ki. yah Syedbonyadi toor par Sufi thay. Goru Sahib ki Hamait-o-taed is amarki khuli daleel hai kah sikh koee alag say dharam nahain balkahsufi silsalay ki eak kari hai.
Lafz \"Baba-ji\" hamaray haan ziyada'tar sufya kay liay istamalmain hota aaya hai aur yah eatalahi marakab urf-e-aam ka darjarakhta hai. Mein nay baray borhoon kay monh say \"Baba GoruNanak\" aksar sona hai. Maira apna ta'aluq bhi Syed Family sayhai. Mairay walid mohtaram, Hazrat Ghulam Hazoor Shahal'maroof \"Baba Shukar Allah\" sahib Punjabi zoban kay sufishair thay. Mein nay kaee martaba oon kay monh say \"BabaGoru Nanak\" sona. woh \"Baba-ji Goru Nanak\" Sahib kay liaybara ehtaram rakhtay thay. Onhain Siri Goru Garanth Sahib kibohat sari baniyaan zobani yaad thein.Oon hi ki zobani maloom para kah sikh giyarvein shareef kadoodh nikaltay thay. Dass Moharam ko sikh sahiban pani aurdoodh ki sabilain lagaya kartay thay. Her doo motzakra chizainsamaji ravait nahain hain. In ka ta'aluq mazhab say hai. Mein
aaj kay amrat'sar/mashraqi punjab say ba'chasham-e-khudaaghi nahain rakhta kah aaj bhi yah surat wahaan mojood hai yanahain.Hazrat Goru Nanak Dev say yah bool mansoob chalay aatayhain:Maal paraya nanaka laho barabar janEak aur bani sonaykalma kahaan tay kal (2) poway bin kamioon vi naHindu kahaan tay marya musalman vi naYahaan woh musalman marad hai jo sair ka tein pao tolta hai.Allah ki zamein par fasad aur dehshat gardi phalata hain.Gulbargha aur kaee dosri jagoon par sufioon nay apnay mazhabko parda main rakh kar insaniat ki khidmat anjam di. Syed
Sahiban takya main rahay aur yah surat aaj bhi mojood hai.Ta'hum bonyadi baat jo is bool ka lob-e-labab hai wo \"binkamioon vi na\" hai. Baba-ji(3) nay apna intasaab parda mainrakha. Sikhanay kay amal ko libasi hawala say digar sufiya sayalag rakha ta'hum digar sufiya kay kalaam ko apnay haannamayaan jaga day kar yah sabat kar diya kah woh oon say alagnahain hain.Musalmaanoon ka eak acha khasa tabqa bari aqidat sayBazorgoon kay mazaroon par hazri daita nazar aata hai. Sikhna'siraf Hazrat Nanak Sahib kay Darbarpar par hazri daitayhain balkah digar sufiya kay Darbaroon par bhi mohabat aurehtaram say hazri daitay hai.Musalman in sufiya ko khuda nahain samjhtay balkah ohain
mukhlooq samjhtay hain. Musalmanoon ka Allah eak hai yahisurat sikh silsalay main hai. Siri Garanth sahib kay ibtadaee yahshabad malahza hoon:\"One Universal Creator God. The Name Is Truth. \"sikhoon kay haan bhi yahi surat hai. woh Hazrat Goru NanakDev ko Allah nahain, Goru mantay hain aur onhain Allah kamanzoor-o-maqbool samjhtay hain. Sufiya kay hawala saymusalmanoon ka nazariya aur noqata-e-nazar is say mukhtalifnahain.\"Dayemi Complex Bangladesh\"kabi kisi kay liay tang nahain para. Sikhoon kay liay bhi is kaydarwazay kholay rahay hain.Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-ul-Islam is
waqat alam-e-insani kay Rohani Paishwa hain. Is hawala say oonka Sikh silsalay say bhi gehra ta'aluq banta hai. goya jahaan wohdigar Rohani sisaloon kay paishwa hain wahaan Sikh Silsalaykay bhi Goru tehtay hain. Sikh silsalay ko mojoda almi halaatmain faiz othanay kay moqay mayasar hain.zara sonain to:https://www.youtube.com/watch?v=ckjw6JC2ZA4----------------------------------------------1-Akhya Baba Fareed Nay p.47,Pakistan Punjabi Adbi Board, Lahore 20012-larae, jagra, kil kil, takrar waghera3-Hazrat Sufi Sheik Baba Nanak Sahib
Wed Apr 29, 2009 2:03 pm_________________urfi67Forum Family Memberthx 4 sharingWed Apr 29, 2009 2:36 pmDr Maqsood HasniSenior Proud Pakistanishukarriya janab_________________http://www.forumpakistan.com/sikh-silsala-eak-motala-t26890.html#ixzz4GLNu1XQo
Ab Guru Garanth sahib ki yah baniyaan sonain: https://www.youtube.com/watch?v=5HTn_eX1tok https://www.youtube.com/watch?v=mmKRO-yuoHw https://youtu.be/uh3YgRkvC08
Search
Read the Text Version
- 1 - 18
Pages: