maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain پیش کار پروفیسر نیامت علی مرتضائی paish'kar prof. niamat Ali murtazaee ابوزر برقی کتب خانہ ٢٠١٦ نومبر abuzar barqi'kutab'khana nov.2016 nov.2016farist
1- Chup2- Tum mairay koee nahain ho3- Khadshay jab sach ho jatay hain4- Palkoon par shaam5- Mumta jab say6- Sahil ka pathar7- Sahil ka pathar8- Raat zara dhal janay doo9- Raam bhali karay ga10- Dil kay goshoon par11- Eak Nasri Ghazl12- Jazboon say keh doo
13- Baloom main bikhri chandi14- Maira moqadar bhi ajeeb hai15- Yahhi tou16- Sony Dou17- Jab tum mujh ko socho gay18- Jinay ko to sub jitay hain Jinay ko to sub jitay hain19- Otho ab Koch karo20- Door gharab say21- Qarz22- Nasri Ghazal23- Nasri Ghazl24- Tairi Aankh ka kajal abhi phela nahain
25-Subh ki aankh main26- Ab main tujhay tairi ijazat say sochta hoon27- Kagaz par jigar28- Waqt kaisa azaab laya hai29- Ab main tujhay tairi ijazat say sochta hoon30 Gher qanoni31- qehar nazar32- Dou Nasri HaikuChupChup
Mat boloChup ka roza rakh loJo bola masloob howaFakhta ka yah avtaar,Fakhta ka nahain hai..............Chupmat bouloChup ka roza rakh loHum Hussain nahain hain, jo bolainYazeed aaya hai
Fakhta ka otran lay kar..................Khoda kab chup haiZulm ki haad say pehlayChar aata hai daryaMitanay waloon koMitanay kay liayTum mairay koee nahain hoTum mairay koee nahain hoMein nay tum ko kabhi socha hi nahain
Aisay main sapnay bonnay kaSawal kab othta haiTum gol-e-na’shgufta sahiMarvareed na’asofta sahiYah bhi kahTairay qehqahay jivan kar pairhanTairay bool aaksh ka ban thanMairay soch kay daeray ka mehvarMairay lafzoon ka kar-o-farTairay qehqahoon par kayoon ostawar hota hai?!Tum mairay koee nahain hoMein nay tum ko kabhi socha hi nahain
Phir bhi yoon lagta haiMairi aankh kay noor main tum rehtay hoMairay shaoor ki basti main bastay hoJin ko kabhi socha ja’ayOon jazboon main taira thikana haiNasha-e-shooq tum parJitna itra’ay, otna kam haiTum ko koee sochayOs kay sochoon mainKab itna dam haiDua ko jab bhiHath othta hai
Maira her khmosh jazbaYahhi kehta haiMein tum ko kabhi sochoonTum mairay soch main aa sako gay?!Yah sawal mujh ko sochnay nahain daitaTum ko khojnay nahain daitaTum mairay koee nahain hoMein nay tum ko kabhi socha hi nahainKhadshay jab sach ho jatay hainKhadshay,
Jab sach ho jatay hainMajro jazbayMirti aur jivan kay barzakh mainHashar barpa honay kiKamna kartay hainKhadshay,Jab sach ho jatay hainAshkoon say aari aankhainMujram tehrainAshkoon say tarJag par bhariKhamosji*
Kantoon say baad’tarKhadshay,Jab sach ho jatay hainAas mar jati haiOjhal rahainDikhnay lagti hainKhadshay,Jab sach ho jatay hainHath talwar kay dastay parJam jata haiKhadshay,Jab sach ho jatay hain
Aati naslainPurkhoon ki tasviroon parKabhi hasti hainKabhi roti hain.......................*SabrPalkoon par shaamGodaz palkoon par shaam gozariHer mosam, yaad ka nishtarHer subh, sehra ka pathar
Her baat adhori haiJina bhi to majbori haiBinaee ka mamba*Aankhain kho baithaHer aasha zakhmi zakhmiHer naghma, izraeli israfiliKhoon main bhiga aanchalGanga kaHer rastaChup ka qaidiDarya kinarayMonh daikhay hain
Bai’aab nadi mainGolaab ki qashainPani paniPalkain sanpoon kay gharJaein kidhar?Pakoon ki shaamHer shaam par bhari hai-------------------• surajMumta jab say
Mumta jab saySehra main khoe haiBaraf main boe haiSofaid parindaKhon main dobaKhanjar diwaroon parChand ki shisha kirnoon sayShabnum qatray pi karSoraj jismoon koShela aankhoon mainEhsas kay mosam se karHontoon kay khandar par
Zulm ki mout ka qissaHussain kay jivan ki GitaWafa kay ashkoon sayl ikh karBars howay shant howaSahil ka patharSahil kay pathar sayMojain jab takrati hainKirchi kirchi ho jati hainKoe keh day parwanay sayKiya ho ga mar janay say
Haan, jab bhi aankh kay sahil parObhrain mout kay manzarKeh daina ashkoon sayBolaway kay sab boolDiwaar par rakh dainChilain kaway aur olluApna hisa pa lain gayDiwarain bhi kha lain gayTab ollu bolay ga,.“sahil kay pathar sayJab mojain takrati hainKirchi kirchi ho jati hain”
Sahil ka patharPhatar ka phatarRaat zara dhal janay dooRaat zara dhal janay dooJab doo paat nadi kayMil jein gayDar wasal kay khul jaein gayNiend kay jhonkayAaghosh main apniBasti ko lay lain gay
Aaksh say dhond otray giZulmat apni zulfoon mainJagtay rehna kay aawazoon koKas lay giTab havas sikoon kiGhar say bahar niklay giRaat zara dhal janay dooTum hisa apna batwa lainaRatoon kay malikAb bhiLog bharosa kay hainDin ko to,
Ojlay chehrayDhondla jatay hainRaat zara dhal janay doo Wah bohut khoob ..bohut acchi nazm hai...itny khubsurty se itnybady baat aap nay chaand alfaaz main keh di...daad qubool kijyenehahttp://www.bazm.urduanjuman.com/index.php?topic=3430.0Raam bhali karay ga
Hath kay badlay hathKhon kay badlay khonJan kay badlay janAdoo nayMagar loot liya haiKis say faryaad karainWohi monsaf howa haiJis kay hath main patharBaghal man khanjarMaqola yah baqi haiChar ja baita soliRaam bhali karay ga
« اپریل: بروز2009 ,01»mukarramee Hasni SaaHeb: aadaab!aap ko UrduAnjuman meN dekh kar masarrat huyee.Khush-aamadeed! yaqeen hai keh yahaaN ke dost aur maaHaul aapko pasand aaYeN ge aur aap apnee shirkat se Urdu kaa kaambaRhaane meN hamaaree madad kareN ge. shukriyah.aap kee muKhtaSar naz^m dekhee. aaj kal ke Haalaat par achhaatabSirah hai. aur is Haalat kaa koyee Hal bhee naz^ar naheeN aataa.aap ke Khayaalaat achhe haiN aur in kaa iblaaGh bhee Zarooree hai.bayaan meN behtaree kee gunjaa,ish hai. meraa Khayaal hai keh aapko sab se pehle yeh sochnaa ho gaa keh kaun see Sinf meN likhaajaaYe, ya'nee paaband naz^m, aazaad naz^m yaa nacree naz^m? us keba'd unheeN uSooloN par likhaa aur parkhaa jaa saktaa hai.
Anjuman meN aate rahiYe. hameN aap kee Z^aroorat hai. aur apnedostoN ko bhee da'wat deejiye. shukriyah.Sarwar A. Raz http://www.bazm.urduanjuman.com/index.php?topic=3369.0Dil kay goshoon parSagar pi karHer qtra piyas somondarPalkoon ka sawanJanay kab barsay gaFaraat ka daman
Sholay lay kay bhaga haiSahil shakti kis say mangay?!Mothi band kar loPalkoon kay os parRatoon kay sapnaySoraj ki aankhoon mainBhik kay kokrayKali zulfoon kay mandarMaskan hain “kali jiba” waloon kayJanay say pehlayAankhoon main dhonwaan bhar loChand ka chehra
Rawan ki bhagti lay karMosa kay koon sayDil kay goshoon par“Raban” hi rab likh raha hai« 2009 ,01 » اپریلjanaab Hasni SaaHeb: aadaab!aap kee naz^meN dekheeN. maashaa Allah aap bohat likh rahe haiN.meHnat aur shauq ke saath mut^aali,a'h bhee mil jaaYe to teHreermeN nikhaar baRh jaataa hai. apnee taKhleeqaat par meree daadqubool keejiYe. is ke ba's do teen baateN kehne kee ijaazat chaahataahooN. buraa nah maaneN. in baatoN se aap kee qadr-afzaayee
maqSood hai, tanqeed naheeN.ek saath itnee bohat se naz^meN lagaane se log in ko dekh naheeNpaate haiN. kam likhiYe aur dostoN ko paRhne aur raaYe dene kaamauqa' deejiYe. warnah faa,idah kam ho gaa. doosree baat yeh kehRoman Urdu kaa koyee saadah aur achhaa niz^aam apnaa leejiYe aurusee ko ista'maal keejiYe. maujoodah shakl meN aap kee teHreerpaRhne aur samajhne meN diqqat hotee hai. teesre yeh keh likh karKhud bhee paRh liyaa keejiye taa.k Ghalat^iyaaN kam se kam hoN.aur sab se aaKhir meN yeh a'rZ^ hai keh agar naz^m kaa markazeeKhayaal apne Zehn meN saaf rakheN aur us kee adaa,igee meNwaZ^aaHat kaa ehitmaam kareN to sab ko ziyaadah faa,idah ho gaa.maiN is Khat^ ke tawassut^ se apne deegar dostoN se bhee iltimaaskartaa hooN keh woh Dr Hasni aur doosre nau-waarid dostoN kaaAnjuman meN istiqbaal kareN aur un kee taKhleeqaat par chand
alfaaz^ hee sahee lekin kuchh likh diyaa kareN. isee t^araH chiraaGhse chiraaGh jaltaa hai. ham ek doosre se Ghaafil hoN ge to yehchiraaGh bujh jaaYe gaa.Sarwar A. RazEak Nasri Ghazl Sach say tomhain qata ta'alaq karna ho ga Es ka zoban par aana Soraj ka ka sawa naizay par aana hai Intakhabi postar parh kar yoon laga
Shaihar main kae paighambar otar aa'ay hainHojray main baith kar rah-e-eshq mainMarnay ki baat to karta hai wa'azBara moshkal hai talwar par aanaMosa ka kiya kamal paighambri sath thiEk hum hain na paighambri na asa mila haiBach kar kahaan jata baat kayoon barhtiagar maira bhi koe giriban hota
Jala kar jali rehti to afsus na hota Khud bhi na rahi sahar honay tak Mein Farhad nahin jo khud'koshi kar loon ga Mohabat aur hisab, Doo mazmoon rahay hain mairi nazar main« 2011 ,24 فروری:»بروزjanaab moHtaram Dr.maqsood hasni SaaHebaadaab arz haiNmujhe paihlee baar naCree Ghazal paRhne kaa sharf HaaSil huwaahai ,Hayeraan bhee hooN pareshaan bhee hooN ,baRee zor kee haNsee
bhee aarahee hai :laugh:mu'aaf keejiye gaameree jaanib se bohot see daad aap kee Khidmat meN ,aur SaaHeb eilm Hazraat kee aaraa aur nazar e inaayat kaa intizaar bhee keh is Sinfaur iss ke Haawaale sekuchh seekhne sikhaane ke amal ko isteHkaam aur faroGh HaaSil honiyaaz mand Ismaa'eel Aijaaz« 2011 ,26 »فروریmuHtaramee Hasni SaaHeb: tasleemaat!sab se pehle to aap kaa Urdu Anjuman meN Khair-maqdam kartaahooN. aap se guzaarish hai keh aate raheN. aap ko yahaaN ke dost aurmaau,Hol donoN hee pasand aaYeN ge. inshaa Allah. agar aap Jaan
Pehchaan ke baab meN apnaa ta,a'aruf likh deN to nawaazish ho gee.aap kaa kalaam dekhaa. Khayaal SaaHeb se maiN muttafiq hooN. aajse qabl aazaad naz^m, nacree naz^m, Ghazal-e-mu,a'rraa to naamsune the lekin Nacree Ghazal nah kaheeN sunee thee aur nah heenaz^ar se guzree thee. aap kee i'naayat se ma'loom huwaa keh aiseebhee koyee Sinf-e-suKhan hai! ab aap se ek guzaarish hai.har Sinf-e-suKhan ke kuchh uSool hote haiN jin kee bunyaad par us kelikhne waale us kee pairawee karte haiN aur likhte haiN. aap seiltimaas hai keh aap Nacree Ghazal ke bunyaadee uSool aurqawaaneen yahaaN likh deN taa.k log aap kee taKhleeqaat ko samajhaur parakh sakeN. maujoodah Soorat meN chooN.k sab hee (aap kei'laawah) is se naa-waaqif haiN is liYe kisee ke liYe kuchh likhnaamumkin naheeN hai. ummeed hai keh aap hameN apne Khayaalaat sesarfaraaz farmaaYeN ge. shukriyah.
Sarwar A. RazJazboon say keh dooJazboon say keh dooEk tair aur chalaeinTehray tehray baad’naam-o-roswaKhoof say khaefLashoon kay ambaar mainDam laitayJivan say kiya hasilZameer ki cita ko aag dikha di hai
Jazboon say keh dooMoqa haiSati ho jaeinBaloom main bikhri chandiBaloom main bikhri chandiRooh ki kab qati haiMirti aur jiwanAas aur yassEak kokh ki santan nahain hainPhir bhi
Eak mehwar kay qaidi hainBaloom main bikhri chandiRooh ki kab qati haiYah candi toEshq ki bandi haiJab dil darya mainDoll eshq ka dalo gayIirtash to ho gaMun mandar ka her jazbaHeer ka dass to ho gaBaloom main bikhri chandiRooh ki kab qati hai
Her rut kayPhal phool niyarayKoh baraf kayDoor amaja kayKhilyanoon main sirabi latay hainLab Ganga kay piyas bhojatay hainBaloom main bikhri chandiRooh ki kab qati haiMun mastiAankhoon ka kajilDharkan dil kiZulfoon ki zulmat kay
Kab qaidi hain?!Kab qaidi hain???Baloom main bikhri chandiRooh ki kab qati haiAatesh gahainBarkha rotoon mainJalti theinJalti hoon giBaloom main bikhri chandiRooh ki kab qati haiMaira moqadar bhi ajeeb hai
Mohabatoon ki raat mainMosam-e-barsat mainBadloon kay sath sathMaira moqadar bhi ajeeb haiApni hi aag mainTairgi kay tazaad mainJalta hai raat bharYahhi tou(cin quain)Bhagwan ki lila hai
Tum aakash howay mein dharti tehraTairay hath jiwan mirtu par taira tar'bhujanMairay hathSony Dou(Cinquain)Jaagti aankhoun kay khaabQahar waqt kay barzoukh monh mainApni jinni jitay na apni marni martay hainsonay douJab tum mujh ko socho gay
Tairi zulfoon ki shabSubh baharoon kay par katayTairi aankhoon kay must payaloon ki ek boondAas ki mirti ka sar katayJanay un'janay ki ek angraeNakhwat kay evanoon mainhonay na'honay kaQirtas-e-mohubbat par,Malkooti shabdoon sayAmar par amar likh dayAb jab say main tujhy sochta hoon
Mairi basirat kay band dar bhiWa ho gay hainApnay soch ka ek zarraAgar koh par rakh doonDiwana ho kar,Majnoon ki rah katayMairay soch ki hidat saySehraoon ka sehra,Apni pag katayTairi moskanoon ka ek shaebaShoor zaminoon ko,Barumma kay bardan say bhar kar
Main tujhy sochta hoonKah sochna zindgi haiKhojna bandgi hai\"Jab tum mujh ko socho gaySachay dil say khojo gayKon ka raaz,Tum par khol ja'ay gaBarhamma say amarta ka bardanBin mangay hi pao gayHer galihe her kochaKehtay phero gay,One into many
But many are not oneNothing more but oneWhen we divide oneFace unjust and hardshipI and you are not two but oneOne is factFact is oneJinay ko to sub jitay hainJinay ko to sub jitay hainHer saya zakhmi zakhmi
Jangal kay punshiChup kay kaidiBarbat kay nagmayDar kay sholay pitay hainKarnay kay jazbayRoti ko tarsainJinay ko to sub jitay hainDarya ka paniBhigi billiHur bama kay sunkh main rehtay hainJo khushki ki ghatri koBarish sumjay thay
Mounh kholaySub Aabi bhagayDouray----------Kuch kat maryKhuch thak girayJo chaltay gayKhaboon ki basti bastay hainJinay ko to sub jitay hainimisyedFull PK MembernYc !!!!!!!!!!!
Sohni Kurri5 Star MemberPakistan, NorwayGood!!!M.U.KSenior Proud PakistaniRiyadh Saudi Arabia Reply with quote
hmmmm buhat khuubDr Maqsood Hasniaap donoon dostoon ki tovajo aur mohabat k liay mumnoon hoon.Allah aap ko kush rakhySohni Kurri5 Star MemberPakistan, Norway Dr Maqsood Hasni wrote:
aap donoon dostoon ki tovajo aur mohabat k liay mumnoonhoon.Allah aap ko kush rakhyAmeenor hamari duaay bhi u k sath hai!!Dr Maqsood Hasniyah eak teh'shuda baat hai k sohnay log sohni batain karte hain.shukarriya,Allah aap ko apni panah main rakhy.Sohni Kurri
5 Star MemberPakistan, Norway Dr Maqsood Hasni wrote: yah eak teh'shuda baat hai k sohnay log sohni batain karte hain.shukarriya,Allah aap ko apni panah main rakhy.hehehehe, RazzAmeen SumAmeen !!arslan220
thanks for sharing this.Dr Maqsood Hasnishukarriya janabonline_sports_shopSenior Member PakistaniSialkotBohat khooooooooooooooooooooob JanabDr Maqsood Hasni
shukarriya janabhttp://www.forumpakistan.com/jinay-ko-to-sub-jitay-hain-t52911.html#ixzz4KmEtKhYDotho ab Koch karoPalt kar bhi na daikhootho ab Koch karoShaab kay sab reshtayToot chokayBoloon ki dhanak baqi haiNashtay kay maiz par sab hoon gay
Search