Important Announcement
PubHTML5 Scheduled Server Maintenance on (GMT) Sunday, June 26th, 2:00 am - 8:00 am.
PubHTML5 site will be inoperative during the times indicated!

Home Explore Maqsood Hasni ke taies moqalaat

Maqsood Hasni ke taies moqalaat

Published by maqsood5, 2016-08-06 07:50:52

Description: abk_ksr_mh.784/2016

Maqsood Hasni ke taies moqalaat
Tadvein
Prof. Niamat Ali Mortazai
Abuzar Barqi Kutab'khana
July 2016

Search

Read the Text Version

koee bhi ho jo kharabi ki surat/suratain nikalta ya paida kartaho, os ki nikali gaee ya paida ki gaee kharabi main ta'awankarna, hamaiet karna, ikhtayar karna kisi tara aur kisi bhi suratmain darust aur jaez nahain.Paida ki gaee karabi aur os say juray howay andaz, atwar,hawalay aur rovaeay say nafrat karna os kay khalaaf aawazothana ya kisi bhi tariqa say rokna hi insaniat kay zumray mainaata hai. Goya insan say nafrat nahain ki jani chahiay balkah ossay mota'alaq manfi suratoon say nafrat aur baraat karna hiasooli aur jaez baat hai aur yahhi insan kay liay zaiba hai.Mojoda halaat mazhab ya kalchar kay paida'karda nahain hainbalkah moashi havas ki paida'war hain. Maghrab, khasusanamrika ba'qool sari insaf'pasand insaniat, is zimun main

saf-e-awal par nazar aata hai. Mairi is baat ki taeed-o-tardeedkay liay sarway karwa kar natija daikh lain. Hamaribaad'qismati yah hai kah hamaray wadairay amrika ki dombanay howay hain. In Wadairoon ki daikha daikhi kamzoor aurlaee lag qisam kay tabqay aur bhook say na'char bhi in ki haanmain haan milatay hain. Kaha jata hai sari danish aur sarihikmat gora haous say baramad hoti hai. Yah'hi baat ikhtalafaatkay darwazay kholti hai aur bil'aakhar tasadam ki suratikhtayaar kar rahi hai.Danish aur hikmat kisi ki malkiat nahain hain. In ka ta'alaqumr, rang, nasl, alaqa, iqtadaar waghera say nahain. Danaee aurhikmat ki baat kisi bhi monh say nikal sakti hai.Almia daikhiay tarekh shahoon kay karnamoon say bhari pari

hai aur oon kay qasiday parhti naszar aati hai. Mazeed jahalatdaikhiay pocha ja'ay kah taj mahal kis nay tameer kya tojawabun kaha ja'ay ga shajahan badsha nay. Halan'kah wo siraysay mistari tha hi nahain. Taj mahal to mistari mazdoroon aurdosray honar'mandoon ka karnama hai jihain honar'mandhonay ki padash main hath kat diay janay ki saza mili.Sarmaya bhi koee shajahan ki khoon pasinay ki kamaee kanahain tha. Somnath ka mandar kis nay tora?* jawab main kahajata hai Mahmood Ghaznavi nay. Woh badshah tha, badsha logkhud kaam thora kartay hain. oon kay pas chamchoon ki kabkami hoti hai, chahay os nay hath bhi na lagaya ho laikin naamossi ka aata.Sikandar ka gharoor kis kay hatoon pash pash howa? kaha ja'ay

ga Raja Poras kay hatoon.Mein kehna yah chahta hoon kah Mehnat'karoon/kashoon aurkaam anjaam dainay waloon ko mowarikh jissay morakh kehnaziyada monasib lagta hai ko kahein jaga hi nahain daita aaya.Baat siraf nazar'andaz karnay tak mahdood nahain.Honar'mandoon, ahal-e-qlam, Asatza karam, moslaiheinwagherahum ko aziat di gaee, onhain soli latkaya giya. Kaamkarnay aur honar'mandi dikhanay kay jurm main oon kay hathqata kiay gay. Pata nahain kya kuch keh kar onhain zaleel kyagiya. Goya honar, danish, kaam aur sachaee ki batain kabhitaj/iqtadaar ko khush nahain aaein. Apna kaam nikal kar is liaymout ki saza daina kah kisi aur ko waisi cheez naseeb na hosakay say bhar'kar kya zulm aur ziyadti ho gi.

Agar sab kuch (tajarba/laef xprians) rikard main aa giya hota toinsan aaj taraqi main dou chaar kya char chay qadam aur aagayhota. Gozray logoon ka tajarba aaj kay honar'mandoon kaykaam aata.Aaj ka chaiar holdar bhi kan ka kacha hai aur woh apnay irdgird jama honay walay nakamoon, kaam'choroon,mafad'parastoon, khud'gharzoon, gher zima'daroon aur gherhonar'mandoon kay kahay hi ko sach aur darust manta hai auroon kay isharoon par raqs karta hai halaankah woh khud komarzi ka malik khud mukhtar aur sahib-e-ra'ay samjhta hai.Agar mein yah kahoon to bhi baat kisi tara ghalt na ho gi kahgozray kal main woh khud kisi shah ka nakama aur khud'gharzchamcha tha aur apni hoshyari aur chalaki kay zariay tekht parqabaz ho giya. Woh riyast main-pawar aur os kay wasael ko apni

zati malkiat aur jaedad samjhta hai. Jamhori badsha bhi riyastkay logoon ko sheri nahain apni riya hi khayaal karta hai. Wohchahta hai kah os ka baita ya phir os ka sala, damad waghega hiaatay kal ko riyast aur riyasat kay takht-o-taj kay bilashirk-e-gheray waris-o-malik tehrain aur badshahi kay mazylotain.Faraoon aur is ehad kay shah main faraq siraf yah reh giya haikah woh khuda kehlata tha yah khuda nahain kehlata laikinkhud ko khuda hi samjhata hai aur is kay kaam faraoon aisay hihotay hain. Khuda to Raheem-o-Kareem aur insaaf karnay walahai laikin yah logoon kay liay nahain siraf aur siraf apni zaat kayliay raheem-o-kareem aur monsef hain.Mein apni kisi tehreer main arz kar chuka hoon kah logoon kay

tajarbay (Laef xpirians) ko rikard main laya ja'ay. Univarastioonko keh diya ja'ay kah woh logoon kay tajarba ko jama karain.Wahaan alag say shoba bana diya ja'ay jo logoon kay tajarbay kotehriri toor par akatha karain. Jo tajarba jis sata ka ho os sata kisanad jari karain. Jari ki gaee asnaad ko qanoni haisiat di ja'ay.Hasal kiya giya mowad aaj nahain to aatay kal ki nasloon kaykaam aa sakay.Mowarakh badshaoon ki tarikh kay sath sath in honar'mandoonaur ahal-e- danish kay kar'namoon ki bhi tarikh likhy.Badshahoon ki tarikh jisay qasida jhout farad aur faraib ki kathakehna ziyada monasab ho ga, aati nasloon kay kisi kaam ki cheeznahain.Kya karain baqaeda parhnay waloon kay liay tehqeeq hi nahain

ibtadaee teleem kay darwazay band kiay ja rahay hain. Tajnahain chahta kah kami kamein, os ki jotiyaan sidhi karnaywalay aur os ki chilam garam rakhnay walay parh likh kar kisiohday ko ja sambhalay. Woh her chotay baray ohday par apnoonko hi daikhna chahta hai.Sikhnay aur parhnay likhnay waloon ko aazad kar diya ja'ay kahwoh apni ra'ay aur jis tara say woh daikh aur samjh rahay hain,kay motabaq qalm ko harkat dain.Mein apni asal baat ki taraf aata hoon. Tajarba say motalaqtehriroon kay evaz siraf kaghaz ka eak porza daina paray ga josiraf porza hasal karnay walay kay zindgi main kisi mour parkaam aa sakay ga. Is kay bar'aqs tehrirain nasloon tak kaamaaein gi.

Kaee saal tak kolij sakoloon main parhnay walay ki asnaad, kisikaam nahain aatein. Hasal ki gaee asnaad meaz kakhaz ka porzahi rehti hain, bilkul issi tara tajarba kay hawala say di gaeeasnad/cartifikait/digri bhi kaghaz ka eak porza hi rahay gijab'kah is kay evz bohat kuch hasal kar liya ja'ay ga.Talimi amal aaj kay bapari hakamoon kay khayaal main forinafa'bakhsh nahain. Woh chahta hai kah ashya ki tara taleempar invest ki gaee raqam bhi foran say pehlay dhair sara nafaday ta'kah woh ziyada say ziyada aish ki gozaar sakay. Jo raqamtaleem par kharach ho gi ya hoti hai wo os ki ya os kay baap kichori hoe warasat aur jaedaad nahain, riyast kay basioon say taxkay zariay hasal ki gaee hoti hai.Zindgi kay is talakh ehad kay baad'naseeb aur riya nama

shehrioon ko bhi samjh laina chahiay kah yah badsah log hainaur badshah log kisi kay dost hum'dard aur ghum'khar nahainhotay balkah oon ki kamaee kay dost hotay hain. In ka andazbaghaly bhaghat jaisa bhi nahain raha kah samjha na ja sakay.In kay kartoot aur manfi karnamay to khulay aur wazaylog'dushman hain aur is zimun main kisi sata par ibham ki koeesurat mojood nahain. woh aaj ki tarikh khud moratab karain aurrafta par naaz karna choor dain. Mowarakh to chand takoon yain kay haan izzat panay kay liay raat ko din likhy ga. InBaad'qamashoon ko nabi nahain kahay ga laikin in kay kamoonko nabioon say bhi ziyada behtar, kar'aamad, asuli aur saafsothra bata'ay ga.----------------------

* mandar torna ghalt tha ya sahi, yah baat alag say hai.http://www.forumpakistan.com/apni-khudae-kay-monkar-khud a-t54242.html#ixzz4FhGj7T9yShahistaSenior Member PakistaniAMEEN..... AMEEN...... AMEENWed Jun 22, 2011 10:41 amDr Maqsood HasniSenior Proud Pakistanipunjabaap nay tovajo farmae es k liay ehsan'mand houn.Allah aap ko kush rakhy.

Thu Jun 23, 2011 1:04 pm_________________seemeeFull PK MemberAMEEN..... AMEEN...... AMEEN ...........AMEENSat Jul 09, 2011 1:16 pmDr Maqsood HasniSenior Proud Pakistani punjabaap nay tovajo farmae es k liay ehsan'mand houn.Allah aap ko kush rakhy.

Mon Jul 11, 2011 3:17 pm_________________bartan and meameeen...Iss issue k khilaaaf itnii awaaz uthanii chahyea k soihue haqoomat ko itna ehsaas zaroor ho jae k masooom logo kaqatl e aam ho raha hai aur islam k hawalay sa na sahy khudaraapne uhdaay aur zimaydaari ka hy paas rkh lain.Wed Jul 13, 2011 11:29 amDr Maqsood HasniSenior Proud Pakistanipunjab

tarikh gowah hai k badshah issi tara k hotay hain.qoum ka shaour baidar karnay ki zarorat hai kayoun'kah fikritabdili ba'shaour log hi la saktay hain.Aap nay tovajo farmae es k liay ehsan'mand houn.Allah aap ko kush rakhayWed Jul 13, 2011 8:33 pm_________________mytonyGreen food,god resource. I like the community.Thu Jul 14, 2011 1:23 pmDr Maqsood HasniSenior Proud Pakistani

punjabaap nay tovajo farmae es k liay janab ka shukar'gozar houn.Fri Jul 15, 2011 10:10 am_________________http://www.forumpakistan.com/yah-hain-dehshatgard-t76061.h tml#ixzz4FhIlcoeW Aaj ki mosalman qoumDr Maqsood HasniSenior Proud Pakistani

punjabaaj ki mosalman qoummosalmanoon say bhar kar koee ghairat wali qoum ho hi nahainsakti. in kay sar par pagri rakh dou aur jab tak chaho pichadaba'ay rakho, ouf tak nahain karain gay.dukh dard taleef aur bardasht koee in say sikhay.Fri Jun 17, 2011 9:55 am_________________Riya_SisterForum Family Memberaur aaj kal k musalman in say bar k soi hui qoum koi nahi hosakti ... zulm sitam zeati sab bardasht kar lein gay lekin uff tak

nahi karen gay. zulm hote dekh kar apni ankhien band kar leingay aur kuch to aisay hain jo dekhtay hain to enjoy karte hain ...what a nation .... Shame...Fri Jun 24, 2011 11:29 amDr Maqsood HasniSenior Proud PakistanipunjabshukarriyaAllah aap ko kush rakhy.izhaar bohat zarori cheez haiSat Jun 25, 2011 8:53 pm_________________

Moiz sheikhkarachiriya ki thinking pey afsoos hua..beta bolney sey pehley khud apney gireyban main b jhank loyakaro k tum kiya karti ho Pak k liyeh....kam az kam kuch acha kar nahi sakti to bol to sakti ho na...shame on youi m proud to be Pakistani and i love it as it is..Achey waqt main to sab saath detey hainapney woh hain jo burey waqt main b saath dainTue Jun 28, 2011 4:33 pmDr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani punjabjab tak achay aur boray ki aaghi nahain ho gi islah kaisay hosakay gi?aap k khayaal main ghalt ko bhi sahi kehna chahiay?humain jab tak apni khamioun ka pata nahain chalay ga garikaisay sidi rah par chal sakay gi?is acha acha hi nay kaam kharab kiya hai goya boraee ko achaeebata kar boraee ki hosla afzawe ki jani chahiay???????????????tanqeed noqsan nahain ponchati balkah nikhar aur safaee kasabab banti hai.Tue Jun 28, 2011 6:38 pm

_________________Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistani punjabhum sab ko PAKISTAN par fakhar hai aur yah hamara dil aurhamari jan hai.aap ko kiya moloum is ko hasil karnay k liaya kuch daina para.lakhoun log bai'ghar howay.lakhoun logoon nay jan ka nazrana paish kiya.lakhoon log tanha ho gay.kya kya zikr main laya ja'ay................????baat kartay howay bhi kalaija monh ko aata hai.

issi wajah say to dukh hota hai kah yah sab kya aur kayoun horaha hai.baita ji!yah pak logoon ka molk hai laikin napaki ko nazar'andaz bhi tonahain kiya ja sakta.islah k liay her kisi ko kamar kasna paray gi.Tue Jun 28, 2011 6:48 pm_________________Faixan5 Star Memberkon musalman yar,, aj musalman kahan milen gay apko.. aurmusalman qoom hona to door ki baat...

Thu Jul 07, 2011 11:04 amsarfarazlovesuSenior Proud Pakistanimuslmaan milain ge thoray thorayon their original deenlogo ko woh ajeeb lagain gekaisee batain kartay hain yeh logghairat ki sharam ki haya kiALLAH aur us k rasool ki batain mananay ki ...Thu Jul 07, 2011 4:46 pmDr Maqsood Hasni

Senior Proud PakistanipunjabAgar kisi say kaha ja'ay kah mosalman qoum ki tareef biyan karoto jawabun ossay yah tareef karni chahiay: Mokhtalif nazriyaat kay mollaoun ka aisa majmoua jo bahmimofad aur maal pani kay liay eak dosray ko bora bhala kehtayrehtay hain bal'kah kafir tak qarar daitay rehtay hain.Taqseem ko jan-o-eman samjhay bhaitay hain aur taqseem kaamal puray zour-o-shour say jari-o-sari hai. Woh is qoum kotaqseem karkay takht ki jaroun ko mazbout karnay ki danistaba'az oqaat na'danista koshesh kartay hain. Tarikh gowah haikah mazhabi nambar'dar takht kay gomashtay hi rahay hain.Falah aur eslah'kaar in hi kay jari karda gidar parwanoun kay

hawala say zindgi say mehroum hotay rahay hain aur hotayrahain gay.Yah kehna bhi shaed ghalt nahain ho ga kah maghrabi khudakay kalay ya goray hathoun say kha'ay howay chamkilay aurpalish kiay howay jotoun main apni donyavi kamyabi aur nijatkhayaal kartay hain. Hussain aur Tipu in kay haan baghi kaylaqab say malqoub hotay hain.Hussain aur Tipu ab is liay wapis nahain aatay kah yah apnayban kar ghairoun ki dar parda madad kartay hain aur jab gaiarkaam nikal janay kay baad in ki pith par puray zour say laatraseed karkay darwazay say bahar monh kay bal girata hai tophir woh is baad naseeb qoum kay hiro ban jatay hain.Halan'kah ab jang oon ki apni hoti hai laikin onhoun nay Islam

ka libada zarour ourh rakha hota hai.Mowarakh bhi in hi ko qoum ka nijat dahinda batata hai,Hussain aur Tipu ko motnaziya bana kar haq-e-namak khoriada karta hai.Sat Jul 09, 2011 12:41 pm_________________Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistanipunjabmoslmaan milain ge thoray thorayon their original deinlogo ko woh ajeeb lagain ge

kaisee batain kartay hain yeh logghairat ki sharam ki haya kiALLAH aur Os k rasool ki batain mananay ki ...tovajo kay liay shukarriyaaap nay thek farmaya. kuch aisa hi ja raha hai ta'hum achakarnay walay kisi manfi remark say gabra kar acha karnay saybaz nahain aatay.Allah oon ki tofiqaat main azafa farma'ay aur hum sab ko naikiaur rah-e-rast (Sirat-e-mostaqeem) par chalnay ki tofeeq aatafarma'ay.aap ko izhar kartay rehna chahiay is tara ghalt aur sahi kinishan'dahi hoti rehti hai.

Allah aap ko kush rakhy.Sat Jul 09, 2011 12:55 pm _________________http://www.forumpakistan.com/aaj-ki-mosalman-qoum-t76028. html#ixzz4GKFmsvVo Pakistan dushmun koun hainRiyasat apna nazam-e-hakomat chalanay aur apni afradi qovatki esta'ad-e-kar main mukhtalif hawaloun aur tariqoun sayazafay, skilled karnay, shaour-o-aaghi say behra'mand karnay,moashi siyasi aur samaji insaf mayassar karnay, oon ki zindagiko aasan aur aasuda bananay aur onhain sehat'mand rakhnay

kay liay mukhtalif qisam kay aeni tariqa say tax nafaz karti hai.Riyasat shakhas ki haisiat waghera ko bhi es zimun mainmad-e-nazar rakhti hai aur la'yaeni aur gher'mota'alaq tax aednahain karti. Ta'kah baichaini parishani aur haisiat ki kamzoriwaqo main na aa'ay. Jaez aur monasab hasal kiay ga'ay tax sayriyasat aeni aur riyasti adaroon ko mazboot karti hai ta'kah wobehtar tariqa say riyast kay logoun ki khidmat sar-anjam daysakain.Jis riyasat main moamla es kay bar'akas ho jata hai wahankharabi aurbai'insafi kay bai'shomaar rastay bun jatay hain.maslan:a. 1. logoun ka maal jo tax kay zariay say hasal kiya giya hota hai,Houses ki tamer tazein-o-araesh par kharch honay lagta hai.2. houses ka kichan zarorat say ziyada farakh ho jata hai.3. houses kay logoun kay paiat bhi qabal-e-mazamat haad takbhar jatay hain. es tara es maqolay ko amli shakl mil jati hai:

\"kama'ay gi dunyaan khaein gay hum\"b. la'yaeni doroun par bai'daraigh ropay lota'ay jatay hain aur oska return qoum ko sefar ki surat main milta hai. haan vadairounkay saiar sapatay zarour ho jatay hain.c. houses ki haisiat logoun kay liay gher'mowassar aur bai'kar hokar reh jati hai. logoun ko wahaan say kuch hasal nahain hopata.d. shashas to shakhas, adaray tak khadam nahain makhdoon hojatay hain aur wo siraf aur siraf en houses kay liay kaam kartayhain. logoun ko wahan say dhakay dabao daraway, dhamkiaanaur jirkiaan milti hain.e. rishvat ki taraf janay walay rastay ziyada ho jatay hain. log jisrastay par bhi chaltay hain os ka ekhtatam rishvat kay darwazaypar hota hai.f. bai'tahasha tax ki vasoli kay ba'vajoud pori nahain parti lihazabaroni qaraz main nijaat samjhi jati hai. es tara dosroun kay

samnay sharmindgi othana parti haihalakah damun kay motabaq khud riyasat kay andar mojoodhota aur rehta hai.g. Molak kay sar’barah qimati libas main malbous ho kar bheekmangnay jatay hain aur tazheek ka nishana bantay hain.h. jab houses kay log jinhain misali samjha jana chahiay, ghalt hojatay hain to khud logoon kay ghalt honay main dair nahainlagti.i. fard zaat kay khoul say nahain nikal pata aur her tariqa sayapnay faeday kay liay tag-o-doo karta hai chahay es say kisi aurka ya riyasat ka kitna hi noqsan kayoun na ho.j. insaaf mazaaq aur bakaou maal ho kar reh jata hai.k. aaghi kay rastoon par kharch honay wali raqam ko fazoul aurgher’paidawari samjha janay lagta hai.aaghi say motalaq adaray tamatar aur aalu ki haisiat ekhtayarkar laitay hain aur onhain maal'dhar logoun kay hath baich diya

jata hai. es tara:1- en adaroun ka miyaar gir jata hai.2- menhgay aur aam admi ki ponch say dour ho jay hain.natija-e-kar:a. oon tak aam logoun ki mali hawala say rasaee dam toor daiti.b. bipari aur taleem say gher motalaq balkah kitab'dushmunaaghi kay bai'taj badshah ban jatay hain.c. whaan say milnay wali aaghi, aaghi kay naam par gandgi kitikka hoti hai.d. qarz farahum karnay wali qovatoun kay talimi adaroon komiyari aurboland'paya samjha janay lagta hai aur oon kay qadmoun parchalnay ki koshesh ki jati hai halankah wo oon kay kalchar kaymotabaq bana'ay gay hotay hain. oon ka nisaab bhi oon kaymazaj aur zarorat kay motabaqtakeeb-o-tasheel kiya giya hota hai.

e. auroun kay dabao main aa kar riyasti zaroratoun asoloun aurnazriyati chizoon ko hazaf kar diya jata hai.f. qaraz'dahinda qovat ki zoban ko bala'tar samjha jata hai aurossi main, ossikay zair-e-assar aur ossi qoum kay mafadaat kay hawala saytaleem di janay lagti hai.k. her lamha baiyaqini kay tanoor main jalta aur sulgata rehtahai.l. \"choor ochakay chudri aur ghundi run pardhan\"ban jati hai.m. gher'aeni taxes ki bhar maar ho jati hai.n. foj ko apnay mokhalif logoun/fariqoun ya qaraz'dahinda kaymokhalif logoun/fariqoun kay liay estamal kya jata hai.Yah to seraf chand eak batain hain jin ka mein nay opar zikr kyahai.Baishumaar qorbaniaan day kar hasal kiya giya Pakistan enqabahatoun ka shakaar ho giya hai. Log sochnay par majboor ho

gay hain kah agar yahhi surat-e-haal aur chalna rehna tha toessay hasal karnay ki aakhir kya zarorat thi.Aaj Bharat aur gher muslim molkoun main musalman aabadhain aur apnay apnay zouq, zarorat, hunar aur halaat kaymotabaq zindgi kar rahay hay. Apna damun bachanay kay liaymanfi asraat kamoun ka kabhi kabhi rola dala jata hai kah jiwoh mar gay khap ga'ay halankah aisi koee baat hoti hi nahainaur na’hi wahan ki foj apnoun par goliaan barsa rahi hoti hai.pols chitatar maar rahi hoti hai ya pols moqblay mainmokhalfoun ko mara ja raha hota hai.Hamaray haan maghrab ki tara kay 16 sala BA ka rola dala jaraha hai jab'kah hamara pehlay hi 17 sala BA hota hai. pehli takaatay aatay 3 saal laga diay jatay hain. es tara abtada mazbootkarnay ki koshesh ki jati hai.Pehli tak aatay aatay jo 3 saal lag jatay hain kya wo instarakshan

(instruction) ka amal/hissa nahain hain?!kya yah yahaan kay taleem'yafta yang shehri say amli zindgi kay2 saal chein lainay ki danista sazesh nahain?!Shaed yah sazesh es liay ki ja rahi hai kah 17 saal parh kartaleem'yafta yang shehri nokri mangay ga lihaza ossay mazeedinstarakshan kay amal main olja dou.Jab yahaan adaray mazboot hoon gay kaam karnay kay midankhulay aur wasi hoon gay to phir kisi ko bahar ja kar goroon kaykotoon ko nehlanay ki bhala kya zarorat ho gi. yah bilkul ghaltaur baibonyad baat hai kah maghrab kay log yahaan kay logoonsay bhar'kar hain. hamaray log:1. maghrab waloon say kahein ziyada zahein-o-fatein hain. mairies baat kawazay aur zinda saboot yah kah koee bhi faran made cheez aati

hai to os ki eak nahain kaee naqool market main aa jati hain aurbaz asal say bhi kar'gozarimain behtar aur bhar'kar hoti hain. en naqool kay tiyar karnaywalay shakago return nahain hotay baz to sakool bhi nahain gayhotay onhoon nay ether odhersay kuch na'kuch sikha hota hai.2. sabr aur bardast ki ziyada qovaty rakhtay hain.3. bai'haad mehnati hain.4. ziyada waqt kaam kar saktay hain aur kartay hain.5. kaam ko ziyada waqt day saktay hain aur bohat kam moavzaymain daitay bhi hain.6. hamaray haan aksiriat aisay logoon ki hai jo kabhi ba'qaedainstarakshan kay amal say gozray hi nahain hotay laikin kaamala parhay likhay logoon say bhar'kar,kar jatay hain.zara balal ganj kay kisi unparh kharadiay say mil kar to

daikhain aur ossay wo kaam soonmp dain jo maghrab kay kisiprofessor/saens'dan nay kiya hota hai. wo kahein behtar aurkahein paedar kar day ga. mein apni es baat ki sanad kay liay\"naam'dav\"* aur ayub abbasi\"** ko hawala bananay main koeaar nahain samjhta.7. hamari jawan parhi likhi nasal bari la'jawab aur mehnati hai.wo behtar aur kam'waqt main acha aur pae'dar kaam karnay kiehliat rakhti hai. baad'qismatisay ossay mowaqay hasal nahain ho patat.khuda kay liay:* es qoom par reham karain aur es kay wasael ayashi aurbaad'mashi main na oraein.** jawanoon say kaam aur amli zindgi kay 2 saal na chinay jaein.*** taleem ko biparioun kay hath na baichain.**** adaroon ko awaam ka khadam banaya ja'ay aur onhainawaam kay liay kaam karnay par majboor kiya ja'ay.

***** oudhaar ki dokandari band karain.Bawar rahay takht taj aur waqt kisi ka sagay nahain. Waqt kayliay opar say nichay aur nichay say opar lana aur lay janamushkal ya na'mukin nahain. Pehloun kay hashr say ibrat lainwarna Allah ki lathi bai'aawaz hai aur os kay ghar dair hai,andhair nahain. Mein en satoor kay zariay ba'ekhtayar tabqounko chitavni daita houn kah oon ka hashr bohat hi bora ho gayahhi nahain wo kal ko Allah kay hazoor koon'sa monh lay karjaein gay?!------------------------* khaka, Chand Humasar az Dr. Molvi Abdul Haq Sahib** Khaka, Hum'nafsan-e-rafta az Prof. Raseed Ahmad SadiqiSahib Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta

Baray kamray kay qalein par eak chonti kabhi idher aur kabhiodher bhagay phirti thi. Mein nay ghoor kiya, wo shadeedparishan thi. Prishani kay alam main wo la'hasil mashaqat kashakar ho gaee thi. Mujhy os ki prishani ki tein vajo samjh mainaaein:• Qalein zamein nahain thi aur wo zamein par chalnay ki adi thi.• Na'ay mahol aur halaat nay ossay parishan kar rakha tha.• Os ki mahdood basarat aur basirat nay qalein ko la'mahdoodqarar day diya tha.Jab soch basarat aur basirat kalein se kay daeray main mahdoodho jatay hain to insan ki haisiat os chonti say ziyada nahain rehtiaur insan mahdood daeray say bahar nikal nahain pata. Jab

nikalnay ki koshesh karta hai to idher odher bhatakta phirta haiaur prishanioon main ghir jata hai. Ossay kuch sojhaee nahaindaita kah kiya karay aur kiya na'karay. Kaenaat main karnay koto bohat kuch hai laikin aankh ki mahdood kar'gozari kay sababwoh kuch nahain kar pata jo hona chahiay.Basarat kay faislay kay motabaq digar hawas apni kar'gozarisamnay latay hain laikin jab kisi hawala say daera tornay mainkam'yaab ho jata hai to ossay pehlay say behtar kar'gozari kayun'gint mowaqay mayassar aatay hain. Goya woh pehlay saybehtar aur bohat kuch kar gozarta hai. Warna os daeray mainbahar ki kar'gozari momkin hi na thi.Allah Karim nay Insan kay andar 1,64,0000 saktiaan (powers)rakh di hain jin main say meaz chand eak ka istamal ho pata

hai. Moqadas Kotab main ghoor karnay ki bar bar takeed aatihai. Tadabar kay natija main\"La\"ko vajood mayasar aa jata hai. Ta'hum yah baat teh hai kahghoor karnay kay natija main hi korray tabdeel hotay hain.Insan mokhtalif korroon ki sair karta hai. Is say os kay ilm aurmoshahiday main vosat aati hai. Dosri taraf yah bhi hota hai kahkorroon ki tabdili say woh la'madood nahain ho jata. Jab'kahadyan khasosan Islam insan ko mahdood, mahtaj aur ghulamnahain daikhna chahta. Mahdood aur ghulam honay ki suratmain insan apnay khaliq tak rasaee hasil nahain kar pata.Haqiqi Khaliq-o-Malik la'mahdood hai is liay os say qareebhonay kay liay la'mahdood honay ki zarorat hoti hai.

Ulma Karam Koshesh main rahay hain kah intahaee qareeb aurintahaee door kay mafaheim tak rasaee hasil kar lain. UlmaKaram nay ahkamaat ki tashrehaat aur tafheim kay hawala saydaftar kay daftar bhar diay hain. Oon ki masaee jamila apni jagalaikin wo tafheim-o-tashree jo qaem baz'zat aur her kisi kay liayqabal-e-qabool ho, abhi tak insan kay hath nahain lag saki. Hermafhoom her tashree raad ho jati hai ya her kisi kay haansharaf-e-qaboliat hasil nahain kar saki balkah in ki mokhalfatmain kahein pur'zoor dalael samnay aa'ay hain. Jinhain parhkar:• Pehla mostard ho jata hai.• Tazabzab janam laita hai.• Pehlay main tabdiliaan laee jati hain.

• Tashrihaat ki mazeed tashrihaat ho gaee hain. Jis kay sababoljhao paida ho gi giya hai.Foqara la'mahdood honay kay liay apni zaat ki nafi karkay Allahya kisi aur ko jo oon kay khayaal main la'mahdood hota hai, koasbaat daitay hain aur keh othtay hain:Toon hain tana toon hain bana, sabh kojh maira toonKahay Hussain faqeer namana mein nahein, sabh toon (ShahHussain Lahori)Bhula, Sho hain dohein jahaniKoee na wasda gher(Bulle Shah Kasuri)

Ab baat zara aagay bharti hai to Mansoor keh othta hai:\"Mein hi haq hoon\"Bulle Shah ka yah kehna bhi qabal-e-tovajo hai:Haji lok makkay noon jandaymaira mahi makkamein kamli haanBulla Sho asaan marna naheinDisay mar giya koee hoorSawal paida hota hai kah yah sab ghoor-o-tadabar kay natijamain hasil hota hai ya hadsati toor par waqo main aata hai yaishq is manzal tak lata hai ya is ki koee aur vaja ho sakti hai.Ustad Ghalib bilkul alag say jawaaz latay hain:

Kuch na tha to Khuda tha kuch na hota to Khuda hotaDoboya mujh ko honay nay na hota mein to kiya hotaMoamla yah hai kah aaghi jab mosbat rastoon par chalti hoeejanoon ki shakal ikhtyar kar laiti hai to hi la'mahdood honay kitaraf safar ka aaghaz hota hai. Is tara daeroon ki qaid say aazadihasil ho jati hai. Mahdood-o-makhsus hona aur ossi ko sab kuchsamjh laina hi Shirk hai. Insan kisi daeray ka mahtaj ya ghulamho giya to os nay Shirk kiya.Insan aazad paida howa hai. Allah insan ki ghulami pasandnahain karta. Insan siraf aur siraf Allah hi ka hai aur Allah hikay liay hai. Allah chahta hai kah insan her midan mainkamyabi-o-kamrani hasil karay. Jab bandgi kay sab darwazayband ho jaein gay to siraf aur siraf Allah ki bandgi ka darwaza

khola reh ja'ay ga. Is tara woh apnay Khaliq-o-Malik ki tarabai'karan ho ja'ay ga. Woh ossi nehj par sochay ga jis par os kitakhleeq hoee. Jein aur gosht kay cells ka pass-word/code daryaftkar sakay ga. Pass-word/Code ki daryaft say hi la'mahdood honamomkin hai. Yah la'mahdodiat kaenati ho gi jab’kah Khaliq kayliay woh meaz os ki khob'surat takhleeq hi rahay ga.Kaliq apni takhleeq kay mafaheem khoob khoob janta hota hai.Auroon par yah mafaheem nahain kholtay aur na’hi khol saktayhain.Modabar ishq dosroon par foqiat hasil kar laita hai to:• Khaliq kay qareeb ho jata hai.• Khaliq ko os ki sifaat kay hawala say jan aur pehchan laita hai.• Khaliq os say aur woh Khaliq say razi ho jata hai.

• Insan Khud ko jan aur pehchan laita hai.• Woh ashya ki haiat, mahait, istamalaat, jowahar aur mafaheensay aaghi hasil kar laita hai.• Woh apnay andar kay korroon aur shaktioon par tasalat hasilkar laita hai.Ghoor karnay aur na'karnay waloon main farq aa jata hai.Ashq-e-modabar (moman/motaqi) Khalifa ban kar zindagi kaykanvas par namo'dar hota hai.Woh jan jata hai aur na'jannaywaloon kay liay Allah ki naimat sabat hota hai. Ulma Karam lafzkay maeni talashtay hain jab’kah yah lafz ki rooh par garift hasilkar laita hai. Donoon main yahi bonyadi farq hai. IsAshq-e-modabar ko Peer keh lain, Bazorg ka naam day dain,Darvaish, faqeer, Sufi, Bhagat, Amam, Khalifa ya Guru kay naam

say mansoob karain eak hi baat hai.surindarnRe: Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain KartaDecember 13, 2014, 08:41:53 PM »bahut khoobsurat ehsaas hai.Dr Maqsood HasniRe: Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain KartaDecember 14, 2014, 03:23:37 AM »aap ki mohabat aur tovajo ke liay ehsan'mand hoon. aap parhamaisha Bhagwan ki kirpa bini rahayhttp://www.yoindia.com/shayariadab/general-stories/allah-insan -ki-ghulami-pasand-nahain-karta-t118389.0.html

I K QAZIModeratorGermanyInsaan Azad paida huwa he lehkin Maddar/Paddar Azad Azadiinsaanoh ka shewa nahih he.Hum jitne bhi Azad ho jahen humenahih bholna chahiye k Iss Zameen par Humae ALLAH TA,ALAne Khalifa bana kar bheja he aur ye k Hume Paida karne ka aikMaqsad he aur wo ye K Hum Itne Azad ho jahe k Iss maqsad jis kLiye Hume Takhleeq kiya gaya he Bhool jayen yani QuranKareem K Mutabiq mafhoom:\"Hum Ne Insaan aur Jinnat koIbadat k Liye Takhleeq kiya he\".Agarche k Ziada loag Ibadat kosirf Paanch bunyadi Arkaan e Islam tak mehdood samajh lehte

hain jab K Is se Maqsad Muhaamlaat hain yani \"Al Deen UlMuamla\"yani doosre Insaanoh ke Huqooq ki Paasdari,Haraam OHalaal me tafreeq,Apne Huqooq aur Khidmaat,Huqooq aurIbadaat (5 Bunyadi Arkaan) k darmiyan tawazan barqararrakhna waghaira he.Jahah tak hum Deen Ko Doosroh kParchamoh Thale Betth kar Usse Islam K Farogh ka zareeyasamajh lehte hain tho uss me bhi Khud ka Islam ke Taleemaat kaIllm hona,Shakhsiat parasti aur Shirk Me Tameez,Ibadaat aurRahbaniat me tafreeq aur ye k Firqoh ko farogh aur janam nadehna bunyadi sharaith hain.ALLAH TA,ALA ne Hume QURANO SUNNAH ki shikal me Aik Dastoor Muhahiya kar diya he agarhum Iss k Daire K Andar Rehte huwe Apne Illm ko haasil karneaur Iss me Izaafa karne k liye Kissi Aalim k Paas jahen tho teakhe wagarna ye Peeri/Mureedi,Mukhtalif jamahathoh/Giroh me

khud ko shamil kar lehna aur Batta dehne se Na sirf HumariAzaadi Salb ho jaati he balke hum Ummah ko Taqseem karneaur Shirk ka mojab ban jahte hain.Iss liye Iss silsille me Ehtiatkarne ki Ashad zaroorat he.Me Deen e Fil Mulla ya Peer ki BajayQuran O sUnnah ko Kissi Ehl Aalim se Seekhne ko Tarjeehdoonga.Sun May 31, 2009 6:16 pm_________________Dr Maqsood Hasnipunjabaap nay tovajo di bari bari meharbaniThu Jun 04, 2009 7:19 am


Like this book? You can publish your book online for free in a few minutes!
Create your own flipbook