Maqsood Hasni ke taies moqalaat TadveinProf. Niamat Ali MortazaiAbuzar Barqi Kutab'khana July 2016
Farist 1- Kiya yah sach nahain?!2- Dehshat gardi ka khatama kayyoon kar Ho?!3- Dehshat gardi aur os kay khatmay ki tadbeer 4- Hum'jinsi Insaniat ki Kholi Dushman5- Wasael aur oon ka mojoda andaz-e-tasaruf 6- Aaj Ourat Ko Ourat Hi Bacha Sakti Hai 7- Koee to os ko samjha'ay 8- Asal baad'qismati to yah hai
9- Baght Sufi Faqeer Darvaish Guru Allah lok 10- Tajarba aur os ehmiat 11- Ahal-e-ilm izhar-e-khayaal farmaein 13- Aap ke nazdeek14- Allah Sahib kisi bhi sata par ghalt nahain karta 15- Dard walo! Otho aur insan bachao 16- Kafir Koun?! 17- Baat to hoti rehni chahiay 18- Woh eak aankh daikhta hai. 19- Amun kay liay kya yah zarori hai?! 20- Apni khudaee kay monkar khuda
21- Aaj ki mosalman qoum 22- Pakistan dushmun koun hain23- Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta
Kiya yah sach nahain?!Mosbat ikhtalafaat fikri balidgi kay liay yaqinun baray kaam kicheez hai. Eslah-e-ahwal kay liay in ki mojodgi zarori hai. In hikay hawala say tameez-o-imtiyaaz ki surtain samnay aati hain.Insan sadyoon say taqseem dar taqseem kay amal say gozarta aaraha hai. Is say bari baad qismati yah hai kah yah amal din badin bharta hi chala ja raha hai. Mafad parast anasar inhainmazeed barha rahay hain. Natija-e-kar insan ka laho bai'waqarho giya hai. Insan mehaz in kay hath ka khilona ho giya hai.Aakhar yah sab kiya aur kayoon hai?????Ehsas tabqay na'seraf is par ghoor kartay hain bal'kah dukhi bhihotay hain aur wo khud ko baibass samjhtay hain. Amun aur
insani sakoon kay liay apni si kosheshain bhi kartay hain. Mafadparast tabqay amun aur sakoon kay kiyam kay liay talwar otharahay hain. Jab kah haqiqat yah hai kah bai'sakoni kay wo khudzima'dar hain aur raad amal ko khatam karnay kay liay gilaysokay sab ko ragra diya ja raha hai. Wo khud ko mehfooz karnachahtay hain hain. Wo jantay hain bil'aakhir mout oon ki ho gi.Chinay ga'ay wasael wapis chalay jaein gay.Ansted University kay bani member Dr. Roger Haw samajizimadari ka ehsas karnay aur nibhanay kay hawala say kaamkar rahay hain jab kah Dr. Adam B. Bodomo samaji sanjhoonkay hawala say apnay hissa ka kirdar ada kar rahay hain. Mairaynazdeek her doo omoor kay sath lisani mamaslatoon aurwahdatoon ko talashnay ki bhi zarorat hai. Goya aman sakoonaur wahdat-e-insani kay liay in tinoon omoor par bhar'poor
kaam karna aaj ki pehli tarji qarar paee jani chaheay. Is tarainsan taqseem dar'taqseem kay amal say najaat pa sakta hai.Ba'surat digar aatay kal ka insan, insan nahain darinda ho ga.Bawar rehna chahiay aatay door ki shabashi ya lanat, gozraydoor kay sar aati hai.Yah baat itni bareek aur mohbam nahain jo insan ki samjh mainna aa sakay. Adaray shah kay gomashtay hotay hain aur heracha bora os ki khush'nodi kay liay anjaam daitay hain. Onhoonnay kabhi aur kisi bhi door main logoon kay liay kuch nahainkiya halankah wo logoon ki behbood kay liay qiyaam main aatayhain. Shah aur os kay adaray hamaisha say awaam ki jaib kabojh rahay hain. Jab tak insan samjh nahain jata bojh rahaingay. Logoon ki mehnat ki kamaee par shah aur os kay gamashtayaish ki gozartay rahain gay. Taj Mohal tameer hotay rahain ge.
Hasib e sabq sach likhna aur sach kehna jum e azeem qararpa'ay ga. Logoon ko chota gosht daikhnay ko naseeb nahain hotalaikin shah ki is moqadas ga'ay ko haftay main doo bar mayasaraata hai. Ajeeb andhair hai mehnat karnay waloon ki izzatkarnay ki baja'ay onhain shah ki gholami karnay par majboorkiya jata hai. Inkar ki surat main in ki gardanain jisam ka hisanahain rehtein.Mein samjhta hoon is main shah aur os kay ghamashtoon kakoee qasoor nahain. Yah sara qasoor in mehnat kashoon ka hai.Yah moti si baat aakhar aaj tak in ki samjh main kayoon nahainaaee. Donyaan ki sari laraeaan shah kay liay lari gaee hain.Warna aam admi ka kisi dosray molak kay aam aadmi say kiyamasla ho sakta hai. Donyaan kay her khitay ka aam admikayoon nahain daikhta moamla shah ka hai lihaza wo jananay
aur os ka kaam janay. Os ki madad aur ta'awan kaisa aur kishisab main. Sarkain bana raha ho, hospital tameer kar raha ho,yatimoon kay liay koee project bana raha ho koee bhi kaam joinsan kay liay faeda mand ho to is hawala say madad ka jawaznikalta hai.Aisa koonsa adara hai jahan say aam admi ko faiz mil pata hai.Darkhast dahinda hi ko dhar liay jata hai ya phir wo insaf kihasoli kay liay airiaan ragar ragar kar mar jata hai.Molvi pandat, padri waghera kabhi danista aur hamaisha adatsay majboor insanoon ko taqseem kartay rehtay hain. Barah-e-rast na sahi yah bhi shah kay madad'gar hain.Mein kehta hoon hind, muslim asaee, yahodi, sikh waghera saypehlay her koee insan hai. Yahhi kora-e-arz par os ki shanakht
hai. Is kay baad hi os ki koee sanvi shanakht aati hai. Ba toorinsan, insan ko insan kay qareeb tareen hona chahiay. Apnaymasael khud say hal karay. Apni zaroratain khud say purikarain. Dukh main eak dosray ka kaam aaein. Insan, insan kikhud say hifazat ka zima lay. Issay shah aur os kay gamashtoonki zarorat hi nahain rehni chahiay. Jab insan, insan kay qareebaa ja ay ga to koee masla hi baqi na rahay ga. Aaj insan ko shahaur os kay gamashtoon ki zarorat nahain hai. Insan ko insan kizarorat hai. Shah aur os kay gamashtay badi ka khuda hain.inhain taiyagnay ki zarorat hai.Insano aao!Shah aur os kay gamashtoon ka galap choro aur apni madadaap ka asool ikhtayaar karo. Mein yaqein say kehta hoon in say
tomhain kabhi kuch nahain mil pa'ay ga. Yah apna olu sidhakarnay kay siwa kuch nahain jantay aur nahi janna chahtayhain. Aaj kay halaat main ehal-e-dard aur ehal-e-danish ka farazhai kah wo insanoon ko eak dosray kay qareeb laein. Insan kotaqseem kay her harbay say bachanay ki saee karain. Samaji aurlisani sanjhoon ko talash kar dorioon ko nazdikioon maintabdeel kiya ja sakta hai. Shaed oon ki kosheshain insan ko shahaur os kay gamashtoon say bacha sakain. Mein janat hoon yahbara karwa sach hai laikin is ko janay bagher amun aur sakoonka sans nahain liya ja sakta.____________ Dehshat gardi ka khatama kayyoon kar Ho?!
Aaj ki insani nasl itni bai his nahain hoee aur na hi bai'rahro,bai'adab, khud'ghrz aur khud'sari ka shakar hoee hai kah wohapnay rohani paishwaoon, bazurgoon aur baroon ko khatarmain na lati ho.Mada itna bhi motabar aur mohtaram nahain howa jitna kahdaikhnay aur samjhnay main aa raha hai. Jo dikhae day raha haiwohi sab kuch nahain ya yahhi aakhri haqiqat hai. Is kay pichaybohat kuch aur bhi hai. Jis ki tafheem abhi baqi hai. Aqab kitafheem aur paziraee aaj ki pehli tarji kay darjay par faez hai.Yah baat poray yaqein say kahi ja sakti hai kah is aqab ki talashzahir parast na kar sakain gay aur nahi os tak oon ki rasaeemomkinaat main hai. Sachi baat to yahh hai kah wo aisa karna
bhi nahain cahtay.Aaj ki nasl apnay rohani bazurgoon ka na'seraf ehtaram kartihai bal'kah oon kay kahay par amal karna apnay liaybaes-e-sa'adat samjhti hai. Hazrat Maha atma Budh, Hazrat Zartusht Hazrat Essa Mashi, Hazrat Barahma Dev, Hazrat Shive,Hazrat Vishnu, hazrat Goru Nanak Dev, Hazrat Bahaulla,Sachaoon kay mosadaq Hazrat syedna Mohammad meinna'cheez fani saad hazar bar oon ke qadmoon ki matti par nisarki mohabatoon aur rahmatoon kay sar chashmoon* say log aajbhi faiz yaab hotay hain.Daikhnay main aisa lagta hai kah in bigray halaat ka ab kuchnahain ho sakta ya ho sakay ga. Aisi soch qatee shatani hai aurkaj amli par dalalat karti hai. Log to rasta daikh rahain kah koee
aa'ay aur oon ki ghael rohoon kay zakhmoon par marum rakhay.Yahhi nahain onhain rasta sojha'ay, oon kay diloon ko thandakaur farhat bukhshy, taqseem aur taqseem dar taqseem kaydarwazay band karay. Woh bhi hainkay tasawar ko ojagar karay.Aisay main Shayukh nay midan-e-amal main qadam na rakha toyah bohat bari ghalti aur bhool ho gi. Dehshat gardi ka kansarzour pakarta ja'ay ga aur aakhar-e-kar 3rd. stage par aa ja'ay ga.Phir siraf aur siraf mout, insan ki mout ho gi. Kuch sojhaee naday ga. Jumla adyan Shaukh par wazay rehna chahiay kah wohAaj kay Amin aur MASIHA hain. Logoon kay dard ka hal oonkay pas hai. Aati nasloon ki fikri-o-qalbi hayat-o- mout oon kay
hath main hai. Oon kay pas dawa aur jarahat ka saman ba suratrohani shakti mojood hai. Agar insan baqi na raha to oon kiizzat, mohabat aur ehtaram kab baqi rahay ga. Agar yah zulmaur boraee ka hath nahain rook saktay zoban say keh nahainsaktay to kam az kam zulm aur boraee say nafrat ki soch ko todiloon main faroogh day saktay hain. Diloon kay phirnay saysoch kay halqay az khud mur jaein gay.Yah sachaee kay Mohtarum Qazi hain. Inhain Insan Bachaoka faisla inhain daina hi ho ga. In kay faislay par aaj amaldaramad ho ya na ho, in kay faislay ki haisiat aur ehmiat, jab takinsan baqi hai motabar aur mohtaram rahay gi.Lafz Jihad qabal-e-Dashnaam tehra hai. Is ki tashri-o-tabeer kayhawala say gher janib dari aur eman dari say kaam nahain liya
ja raha. Jihad koshesh, tag-o-doo, saee, struggle waghera kamotradaf lafz hai. Tarikh kay sab pannay is amar ki khuli goahidain gay kah kisi Eslah konida nay talwaar say kaam nahain liya.Onhoon nay bari bord bari hosla mandi say pathar kha'ay. Kuchto bari shan say daar tak bhi ga'ay. Zehar ko amrat samjh karnosh-e-jan kiya. Dehkti aag oon ke hosle past na kar saki. Wohjantay thay kah sab Allah ka hai aur Allah ke liay hi hai. Haanjab kabhi nobat aaee to difa main talwaar zaroor othaee, difamain alaqa fata karnay ke liay nahain.Aaj insan ko tazabzab aur khoof ki soli say otarna hai. Tazabzabaur khoof hi insan ko talwaar othanay par majboor kar raha hai.Jab insan par khol ja'ay ga kah woh jis ko marnay ja raha woh oska apna partu hai aur kisi aur ka qatal khud os ka apna qatalhai to woh kabhi tawaar nahain otha'ay ga. Her insan dosray kay
liay motabar aur mohtaram tehray ga.Soch main taharat aur pakizgi Shani Dev nahain, Barahma ji kaypovitar boloon say hi aana mokin hai. Sukhan-e-Hafif hiraishmiat paida kar sakta hai. Goru Garanth Sahib kay Shabdhosan-e-kalaam ki vaja ban saktay hain. Jab insan insan kay liaymotabar aur mohtaram ho ga to hi woh sarapa Quran ho sakayga.Rang nasal alaqa zoban qabila firqa, mazhab waghera ki tafreeqkhatam honay say insan, insan kay qareeb aa sakta hai. Yahqorbat reshta darioon main tabdeel ho gi.Bawar rahay laho, laho hota hai aur yah her hawala say motabaraur mohtam hai. Is ka behtay rehna thek nahain. Yah ragoonmain dorta phirta hi acha lagta hai.
Kholasa-e-kalaam :1- Ulma karam tafreeq ka rasta choor kar aur mukhsoushalqoon aur daeroon say nikal kar insan kay diloon ko phairain.2- Puri donyaan main Rohani assambliaan qaem ki jaein.3- Ulma-o-Shayookh zindagi ko sada aasan aur qana'atpasandi ka daras dain. Chein kar aish-o-aaram ki gozarna konsilaeq-e-tehsein baat hai.4- Ambiya aur Solaihein zalim ko os kay zulm ka baar baarehsas dalatay rahay hain, Ulma-o-Shayookh bhi oon ki sonnatpar amal karain5- Mahaireen-e-Lisanyaat zobanoon main tehzibi, samaji aurlisani sanjhain talash karain.6- Jumla mazahib kay ulma mazahib main mushtarik
qadroon ko talashain7- Insani zidagi kay is khatar'naak moor par HazratAmam-e-Kaba, Hazrat Pop John Paul, Hazrat Dalaee Lama auris status kay digar akabrein apni zima'darioon ka ehsas karainaur insan ko bachaeinAatay kal kay liay kuch to warsa choor kar jana hi ho ga. Yahaatay kal ka haq hai. Aatay kal kay log bhi hosn sakoon aurasudgi ka haq rakhtay hain. Yah oon par koee ehsan nahainhamara farz hai. Woh hamaray hi bachay hoon gay. Hamainonhain kuch to acha tarkay main day kar marna chahiay warnahamari aur kottay ki mout main kiya faraq reh ja'ay ga. Onhainbangla, kothi, kar waghera say ziyada ehtaram, shanakht,sakoon achi ravayaat, achay sanskar ki ziyada zarorat ho gi.
---------------------------------- Dehshat gardi aur os kay khatmay ki tadbeerDehshat gardi aur ossay kochalnay kay hawala say jotoofan-e-baad'tamizi barpa hai is say insaniat aurmakhlooq-e-falki bhi sharminda sharminda ho gaee ho gi.Shitan khush ho ga kah mein nay os insan ko ko'rah kar diya haiya woh azkhud ko'rah ho giya hai jissay sajda na karnay ki suratmain raenda-e-dargah hona os ka moqdar tehra.Aaj dard-e-Dil rakhnay waloon ko midan main otarna chahiayaur qatal-o-gharat ko roknay kay hawala say apni si kosheshkarni chahiay. Ba'surat-e-digar woh bhi is ehad kay mujram aur
gonah'gar tehrain gay. Aati naslain oon par lanat bhaijain gi. Abwaqt aa giya hai kah Mashaekh aur tamam adyan kay motadilUlma Karam apna kirdar ada karain. Logoon ko Guru Nanak ,Rehman Baba, Shah Abdul Latif Bhatae, Bulle Shah, ShahHussain, Saein Sachal Sarmast waghera ka kalaam sonaein.Onhain aman aur shanti ka dars dain. Sach ko sach kahein. Yahzindagi hamaisha ki nahain. Her kisi nay eak din Jahan chornahai. Marna thos aur atal haqiqat hai. Almi dehshat'gardbabar aish kosh kah donya dobara naistkay pairo hainAchaee ko zobani kalami manna maniviat nahain rakhta, is kaamli saboot bhi milna chahiay. Gharoon main rehnay walaybai'ghar ho kar roti kay chand tokroon ko taras gay hain. Pait
bhar kar khanay waloon kay halaq say loqmay kayoon'kargozartay hain.Eak shakas bhi bhook say soya to is ki amir-e-waqt say poch hogi. Logoon say chein kar nahain, Amir-e-waqt apni gira-e-khudsay day sab jantay hain kah os ka khisa moflas aur qalashnahain.Amir-e-waqt ko bholna nahain chahiay kah Bhook say barh karkoee andhi taqat nahain. Yah bhokay piyasay aur bai'chat kabtak bhook bardast karain gay---------kab tak........ akhir kab tak?!Bhook piyas eak haad tak bardast ho sakti hai. Bardasht kaybaad kaee aur mahaz khol jaein gay. Phir kiya ho ga, is amar katasawar bhi larza bar andam kar daita hai. Kiya in bhook kaymaroon kay manfi amaal ko bhi dehshat'gardi ya shidat pasandi
ka naam day kar qatal kiya ja'ay ga ya in kay hatoon roti khatayqatal hoon gay. Ghar aur roti pani to pehli aur aakhri zarorathai. Bhook say nijat ki sochna bhi dehshat gardi say kam nahain.Yahaan Hazrat Paighambar-e-Islam (Oon par unhaad Darood osalaam) kay chand Hosn Paroon ko darj karnay ki sa'adat hasalkar raha hoon aur yah farmodaat amal ka taqaza kartay hain:\"Tum main say intahaee na'pasandida woh hain jochoghal'khoor hain aur dostoon main tafreeq paida karnaywalay hain\"(Tibrani)\"Tum (sakht'kalami) ka aisa jawab doo jo bohat acha ho. (aisakarnay say) tum daikho gay jis main aur tum main dushmani thigoya woh tumhara garam'josh dost hai----------\"
(Muslim)\"Jo tumharay sath baad'akhlaqi karta hai os kay sath bord'barisay paish aao aur jo tum say ziyadti karta hai ossay moaf kar dooaur jo tumhain mehroom rakhta hai ossay doo aur jo tum sayqata ta'alaq karta hai os say sila-e-rehmi karo\"(Tibrani)\"Jab tak tum eak dosray* say meharban nahain ho jatay os waqttak tum eman'dar nahain ho saktay\"(Tibrani)\"Narmi jis cheez main bhi ho ossay mazaein kar daiti hai aur jischeez say ossay khatam kar diya ja'ay ossay mayoob bana daitihai.\" (Muslim)---------------------------------
* Awamun'nas par meharban hona morad haiThu Jun 04, 2009 7:36 am_________________urfi67Forum Family MemberDr,,,as usual very nice sharingThu Jun 04, 2009 2:14 pm_________________Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistani punjab
shukarreya janab_________________http://www.forumpakistan.com/dehshat-gardi-aur-os-kay-khat may-ki-tadbeer-t28428.html#ixzz4GHj7a0c6 Hum'jinsi Insaniat ki Kholi DushmanAankh say sonnay,kan say bolnayaur monh say daikhnay ki koshesh ya khaesh yaqinun fitrat kaysath gustakhi ho gi.
Gurday dharak nahain saktay,dil say pishaab karnay kay ozo ka kaam laina hamaqat aurna'dani say ziyada kuch nahain.Yah na'siraf fitrat kay khalaf zulm, ziyadti aur sazish ho gibalkah in aza ko bhi mout kay ghaat otarna ho ga. Baz log fitratkay dushman afaal ko siraf aur siraf chand lamhoon ki lazat aurlutaf ko rawa rakhtay hain. Is lutaf lazzat ya ilati majbori kipusht par un'haad noqsanaat ki ghatri mojood hoti hai. Waqtgozar janay kay baad her qisam ka dawa daru bai'asar bai'maeniaur la'yaeni teharta hai.Aaj kay taraqi pasand aur mafadi ehad main bhi ghalt ho rahahai aur shakas apna hi noqsan kiay ja raha hai to is say barh karkoee hairat ki baat nahain ho sakti.
Aaj chahar soo jamhoriat ka charcha aur bool bala daikhnaysonnay main aa raha hai aur jamhoriat ko her dukh dard auraazadi ka madawa samjh liya giya hai jabkah is say bhar'karkoee na'maqool aur gher fitri cheez hinahain. Eak misal sayapnay moaqaf ki wazahat karna chahoon ga:Mudat hoee hai yaar ko mehmaan kiay howayJosh-e-qadah say bazm charaghaan kiay howayYah shaiar Ustad Ghalib ka hai. Agar sari donyaan issay MirSahib ka shaiar keh day to bhi yah shaiar Mir Sahib ka nahainho sakta. Jamhoriat ka kamal hai kah wo issay Mir Sahib saymansoob kar sakti hai. Jamhoriat das main say 6 kay kahay kodarust qarar daiti. Is main baat ko nahain ginti ko darust manajata hai. Jamhoriat yah nahain daikhti kah ghalt ko darust qarar
dainay ka prinaam kiya ho ga aur anjaam ka bhogtaan kaisay hosakay ga.Kisi ghalt ka chop kar hona bhi ghalt hai laikin os kaam kabarsar-e-aam aur qanoni ya samaji ya aazad honay ki haisiat sayhonay ki noeat qatee mukhtalif hai. Os ghalt kay hawala sayghalt'kar hi motasar nahain hotay balkah oon ki ghalt'karisociety ko bhi lay dobti hai.Hum'jinsi ko koee bhi haisiat dainay walay shaed nahain jantaykah is ka shakas aur society par kiya asar ho ga aur yah choot kihaisiat ikhtayar kar gaee to puri insani baradri ka kiya ho ga.Chand mobtala ashkas ki shakasi aazadi ko lay kar ya ossay votepower samjh kar puri society ka baira gharaq nahain honachahiay.
Is ghalt'kari kay noqsanaat kay ziman main chand morozaatpaish karta hoon:Eak discharage say eak karoor aur sola lakh kay qareeb saparmka akhraj hota hai. Her saparm main insan bannay ki salahiathoti hai. Goya mobtala eak karoor sola lakh insanoon ki shakti joos main mojood hoti hai say la'yaeni mehroom ho giya.Ourat pardischrage honay say eak ya eak say ziyada insan janum laitay aurkaenaat kay hosn main azafay ka sabab bantay. Fitri amal saykuch to output samnay aata jabkah hum'jins say jinsi khail koeeoutput samnay nahain lata. Ourat say malaap fitri amal haijabkah humjins say malaap gher fitri. Gher fitri amal mosbatnataej say hum'kinar nahain karta. Is kay manfi nataej baramadhotay hain. Jo shakhasi aur samaji hawala say khoof'naak sabatho saktay hain.
Hum'jinsi say fael kay saparm kamzoor partay hain phir eakwaqt aisa bhi aata hai kah wo mar jatay hain. Fael kayaala-e-tanasol main jhakao aur taiar'pan aa jata hai. Fael kayaala-e-tanasal ki bala-o-zarein varidain kamzoor par jati hain.Pinas ki jild phat jati hai jis kay zariay kaee bimarioon kayjaraseem dakhal ho saktay hain. Sozak aisi na'morad bimarilahaq ho sakti hai.Zarorat parnay par sinaf-e-mokhlif say malaap ki surat mainpachidigiaan rah pa jati hain.Mada manviya bai'tara ki kharabioon ka shakar ho jata hai.Fariqain aala-e-tanasol ko chosnay ka kaam bhi kartay hain. Yahsurat sehhat kay liay intahaee khatar'nak hoti hai.Jaryan aur surat-e-anzal ka lahaq hona yaqini ho jata hai.
Surat-e-anzal kay liay adviyaat istamal main laee jati hai. Inadviyaat say:1-Qovat-e-bardasht khatam ho jati hai.2- Janoni halat ho jati hai.3- Gorday matasar hotay hain.4- Dil ki bimariyaan janum lay laiti hain.5- Fariqain apni hi nazroon say gir jatay hain aur os kay baadbaihisi ki surat paida ho jati hai.6-Yaad'dasht ko noqsan ponchta hai.7- Nafasyati bimariyaan rah pati hain.8-Chirchara'pun paida ho jata hai.9- Anis ghalazat ki jaga hai. Aala-e-tanasol ghalazat say aaloda
hota hai. Fozlay say is nazok ozo ka touch hona, khir ki khabarnahain la sakta.Fitri amal ki surat main utaras zarorat kay motabaq saparm laylaiti hai baqi nikal bahar karti hai. Hamal na teharnay ki suratmain bhi saparm andam-nihani main rok nahain patay.Androni nazam onhain andar roknay nahain daita. Is kaybar'akas pith main saparm dakhal ho jaein to bahar nahainnikal patay kayoon'kah Qudrat nay is ka koee intazam hi nahainkiya. Her saparm main insan bannay ki salahiat mojood hoti hai.Jab wo andar hi mar jatay hain to oon ki haisiat mordar ki si hotihai. Morda jism main kiray paida ho jatay hain aur yah kirayapna thikana bana laitay hain. In ki khorak saparm (admi) bantihai. Is hawala say onhain adam'khoor kehna ziyada monasab hoga. Agar onhain khorak mayassar nahain aati to wo mobtala ko
hi khana shoru kar daitay hain jis kay sabab ossay sakhtparishni la'haq hoti hai. Yah parishni os main wehshat paida kardaiti hai. Phir woh shakar kay liay nikal parta hai. Woh her surataur her qimat par shakar hasal karta hai. Baz jo adi nahainhotay lalach main aa kar nishana ban jatay hain. Is tara woh bhimoashray kay liay gher mofeed ho jatay hain.Fael hi nahain mafool bhi bachoon ko nishana banata hai. Oonki nafasyati aur illati majbori kay hawala say takhreeb'kari komoqa mil jata hai. Oon ka zaihan takhreeb ka ghonsla bun jatahai. Mafool ki izzat-e-nafas is adat kay baes bai'mout mari jatihai.Shakar honay waloon main khoof aur intaqami jazba parwancharta hai jo aagay chal kar na'siraf onhain balkah samaj aur
moashray ka satyanas mar kar rakh daita hai. Yah illat-e-baadaati nasal ko bhi motaqil ho jati hai. Donyan ka koee mazhab yaakhlaqi nazam is fael-e-baad ki ijazat nahain daita ta'humjamhoriat is ki toseeq karnay par zaroor qodrat rakhti hai aurhum'jins shadioon ki ijazat day sakti hai.Agar mard, mard kay sath masroof raha to ouratoon ka (jin kidin ba'din tadaad barh rahi hai) kiya ho ga?!Moalja:Bakray ki bareek nali, jis main taza goda mojood ho panch satbaar anis main rakhi ja'ay. Her bar naee nali li ja'ay. Kuch waqtrakhnay kay baad jab yah nali nikalain gay to kiroon say por hogi.Rohaniat kay Azeem paishwa His Eminency Hazrat Sufi Sheik
Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib nay Amriki Sadar auros ki intazamiya ko motnabay kiya hai:\" Homosexuality should not be encouraged at all. It is againstGod the Almighty's order in the holy bible, the glorious holyQuran, the holy Torah, and other holy religious books ofHinduism and Buddhism. So that Obama should carefullyhandle the matter of the natural power of Almighty andconstitutional power of himself. If you try to match each other inthe name of freedom and democracy, you have to pay for that.Like Nimrod, the powerful king of the planet after the biblicalflood at the time of Prophey Noah (AS) and Lout (AS).\"Ulma karam Church aur Rohaniat say motalaq logoon ko bhi isjanib tovajo daini chahiay. is tara insaniat ko is fael-e-baad kay
manfi asraat say mafooz rakha ja sakta hai.Thu Jun 04, 2009 7:30 am_________________urfi67Forum Family Membernice sharingThu Jun 04, 2009 2:19 pm_________________Dr Maqsood HasniSenior Proud Pakistani punjab
shukarya janabThu Jun 04, 2009 8:31 pm_________________http://www.forumpakistan.com/humjinsi-insaniat-ki-khoofnak- dushman-t28427.html#ixzz4GHjFQCu9 Wasael aur oon ka mojoda andaz-e-tasarufKottay ki firat hai, jab wo kisi dosray kottay kay monh mainhaddi daikhta hai to pehlay os par bhonkta hai phir os say haddichein lainay ki koshesh karta hai. Is tara donoon main ghomsan
ka run parta hai. Yahaan tak kah wo haddi ko bhi bhool jatayhain. Donoon lar lar kar bai'hal ho jatay hain. Darein'asna koeetisra haddi lay kar chalta banta hai aur laraee kamoqam-o-midan aur naak naqsha hi badal jata hai. Goya laraeeka silsala is china jhapti kay hawala say kabhi khatam nahain hopata.Insan Allah Ta'ala ki azeem tarein mukhlooq hai. Kottay ki koeebhi adat insan main hona insaniat ki kholi tohein hai. Sarikaenaat insan kay tasaraf ki cheez hai aur kaenat hai hi insankay liay. Allah nay insan ko Khalifah kay darjay par faez kiya hai.Goya is hawala say, insan Kaenat ka Amin hai. Is ka behtar barhkar istamal kaenat ki tazein aur hifazat ka fariza anjam daitahai. Maday ko tasaraf main la kar apni danish ka sabootfaraham karta hai. Is ki kavish say sukh, aasudgi aur khair ko
panpanay kay mowaqay mayassar aatay hain. Is hawala sayinsan kay paas:Vasael-e-qudrat wafar mojood hain.Mehnat ka onsar os ki fitrat ka khasa hai.Honar gur saliqa tariqa ki giraan qadar naimat say sarfaraz hai.Takhleeq kay liay namonay pehlay say hi kaenaat main mojoodhain.Holy kotab ki surat main Hadait mayassar hai.Hasad say barh'kar donyaan main koee bori aur na'pasandidacheez nahain. Yah khamioon aur kharabioon ki NANI hai. Yahbhi keh saktay hain, hasad Shitan ka jorwaan bhai hai. Yah wobala hai jo jhagray kharay karti hai aur chein lainay kay jazboonko oksati hai. Insan ki sar'bolandi dou hawaloon say wazay aur
mosalam hai:Mayassar main auroon ko shareek karkay khoshi mehsuos kartahai. Jis kay sabab barkat say nawaza jata hai.Mayassar na honay ki surat main mehnat aur kohesh karta hai.Yah bhi pehlay say teh'shoda haqiqat hai:1- Insan nay wasael talashay hain aur istamal main la raha hai.2- Bohat say wasael say motalaq ilm hasal kiya hai laikin oon katalashna aur istamal main lana abhi baqi hai.3- Un'gint wasael ka ilm main lana, oon par garift karna aur oonka istamal talashna abhi baqi hai.Baad'qismati yahaan say hi shuro hoti hai kah insan mayassarko mil bant kar nahain kha raha. Auroon ko shamil karnay ki
soch, sochnay ko bhi taiyar nahain aur nahi is kay hissay bikhraykarna chahta hai. Halan'kah woh koli ya jozvi toor par kisi cheezka haqiqi malik hi nahain. \"Mairi maira\" kay lalch nay aag kadarya kabhi khoshak honay nahain diya.Issi tara jin ko mayassar nahain woh her hila bahana aur harbasay chein lainay par otray rahay hain.Yah andaz-o-rovaeya qateesehat'mand nahain. Yahhi nahain is aavaizash say mayassar bhitabahi-o-barnadi ka shakar hai. Agar yahhi surat-e-hal baqi rahito aatay kal kay insan kay paas, agar baqi raha to rakh mainbhoja khoon hi ho ga. Woh is khoon ko daikh kar na ru sakay gana'hi moskarahat os kay hontoon par phoot sakay gi.Kiya yah monasab nahain kah insan maloom ko daryfat kayhisar main la kar istamal main la'ay. Issi tara Na'maloom wasael
ko ilm main la'ay ta'kah yah ya is ki aati nasalain aaj kayna'maloom aur kal kay maloom ki talash main nikal parain.Insan kay hath main abhi jo chand patyaan aaee hain jin kaymokamal tasarfaat par bhi puri girift nahain kar paya aur itnabara aur sharam'naak hangama khara kiay howay hai.
Issay abhi to mojood kay ziyada say ziyada tasarfaat talashnahain. Maloom magar istamal main na aanay walay wasael kitalash main nikalna hai. Agar insan mojood par os ki mojodahalat aur istamalaat par kat mara to talash ka amal kaisay jarireh pa'ay ga. Tail, gass waghera kay elawa bhi energy saymotalaq chizain kaenat main mojood hain, oon ki talash abhibaqi hai.Insan to taqat kay bal botay par taleem kay shobay say mota'aluqwasael bhi khisay karna chahta hai. Asool, qanoon aur zabtayapni hi rakhsha kay liay main masroof hai auroon ki khaakmadad karain gay. Taleem aur research kay shobay ko kamzooraur apni marzi-o-mansha ka bananay say maloom magardastaras say bahar tak rasaee aur na'maloom ko maloom mainlanay ka amal kamzoor'tar hota ja raha hai. Woh samjh raha hai
mojood hi sab kuch hai aur issay samait laina hi ghanimat hai.Taleem aur taleem say mota'aluq logoon ko mazboot bananay kiis liay ziyada zarorat hai kah:Mojood kay mazeed kamalaat, fazael aur istamalaat daryaft ki'ayja sakain.Maloom magar istamal main na honay walay wasael pardastaras kay gur aur honar talashay ja sakain.Na'maloom ko maloom ki sar'had main laya ja sakay.yah baat bhi kah mojoda tanazur main thos haqiqat hai:1-kuch logoon kay psas wasael hain.2-Kuch log mehnat kar saktay hain.3-Kuch ilm-o-danish rakhtay hain.
In main say 1,2 ko 3 kay isharay par kaam karna chahiay. Jab'kahhaqiqat yah kah 3, 1 kay isharay par nachnay par majboor hain.Jab tak yah tinoon motwazi aur bahmi ta'awan say nahain chalingay, taraqi ki gari na chal sakay gi. Pehlay say mojood parkottoon ki si laraee ka silsala kabhi rok na pa'ay ga. Moeshatmoashrat aur tehzeeb-o-tamadan ko sahara yah tinoon mil karhi day saktay hain. Amrika nay amun kay qayaam aurdehshat'gardi kay khatmay kay naam par puri donyaan ko aagmain jhoon rakha hai. Diloon kay hal to Allah hi janta hai hosakta hai, kisi sata par os kay haan mukhlasi ka onsar bhimojood ho laikin donyaan issay aqwam-e-alam kay wasael parqabza karnay ka naam day rahi hai. Amrika apnay wasael amunqaem karnay aur dehshat'gardi ko khatam karnay ya momkinhai pehlay say mojood wasael par qabay ki koshesh kar raha hai
aur is aag main apnay wasael jhonk raha hai. Natija-e-karBoqool Hazrat Alama Sheikh Shah Sufi Dr. Mohammad Nur-ulAlam Sahib\"The single superpower, the United States of America, is facing agreat economic crisis, the greatest economic crisis in its history.\"Amrika qomoon ko apnay masael khud say hal karnay day aurkhud maloom wasael magar adam daryaat ki talash main niklaytakah aati nasloon ka bhi kuch bhala ho sakay. Woh kabhi bhimojoda koshesh main kamyaab nahain ho sakay ga kayoon'kahMir Ja'afar kabhi kisi ka nahain ho saka.Fri Jun 05, 2009 8:16 am_________________I K QAZI
ModeratorGermanyDear Brother!! Agar Insaan ka zameer aur ahsaas zinda ho thowo ba hesiat e Musalman ya Insaan Halaal O Haraam meTameez kar sakta he.Aur ye bhi k Qaom ki qeemat par na jahezIsraaf (jo k Khayanat k Zumre me aata he) ya waise bhi najahezIsraaf ki Ijazat nahih he.Har insaan ke soachne ka andaz aurpaimana mukhtalif hota he.Islam hume iss cheez ki taleem dehtahe K kaise Baantt kar khaya jaheh,Zakat ka falsafa,Aik had seziada na barrna,Dunya ki Muhabbat ko Dil me Itna na Uttaarlehna k Insaan se Akhirat Bhool jahe etc.Jaisa k Humarahukmaran Tabaqa Doalat,Shourat aur Kursi ki Lalach me Apnehi Humwattanoh Ka har tarah se Istehsaal karne me laga rehta
he.Agarche agar wo Aik Ashraf Ul Makhlookat k Taor parSoache tho Usse Patta ho k Ye Issi Qaom Aur Wattan kiDain(Diya huwa) he aur Shourat bhi issi qaom ki badolathe.Lehkin Inn loagoh ko tho ye Jahanum k Angaare apne aurApne Khanadanoh k Paitoh me daalne ka shouq he.Waise bhi\"Maal e Muft,Dil e Be Reham\" k masdaq ye inne apne AlalohTalaloh aur Mahalaat ki Tameer etc kharch kar dehte hain yeJaane baghair K kis ki Jaan ki Qeemat par sab kuch ho rahahe.Agar insaan Ka Wijdaan (Zameer) Mar Jahe tho wo InsaanKehlane k Laiq hi nahih rehta.ALLAH TA,ALA Ka HumareWattan aur Qaom par bohat hi Fazar O Karam he.Iss ne HumeTamaam Wassayel se Nawaza he Ghalati tho ye he K Taqseemkarne Waale Haath,Tareeqa e Kaar aur Wassayel Ki MunsifanaTaqseem ka Nizaam hi Ghalat he.Agar Humare Zameer zinda
hote tho hum Mil Bhaantt kar Khate,sirf khud ko hi nahih PooreMuhashare ko Khubsurat,Araam da aur Poor sakoon banadehte.Iss k Saath Saath Hum Iss Qaom ko Ghurbat (Alanke InneDanista Taor Par Ghareeb Rakha Gaya he,istehsaal ki wajah se) kAndheroh se Nikaal kar Taraqi Ki Sharah Par Ghaamzan kardehte.Saanji(Ijtemai) Khushioh,Saanji Taraqi aur Mill Bhaanttkar Poor Sakoon Muhashare ki Chaoh me Rehne sawad(Maza)Hi Kuch aur Hota he.Shayed Ba Hesiat e Qaom aur Ba hesiate eHukmaran Tabaqe k Hume na tho iss ka tajruba he aur na hi isska ahsaas he.Mere nasdeeq tho kisi cheez se Lutf Andozhone,Ache Mahol aur Fizaa me rehne ka ye Falsafa he K ye sirfaap k ghar ya Itraaf tak hi mehdood na ho balke ye Charoh TarafPhela Dikhahi Deh.Agar Hum Apne Pak Nabi MOHAMMAD(SAW) ki Iss Hadith par Soach kar amal Kareh k:Mafhoom\"Aik
Search
Read the Text Version
- 1
- 2
- 3
- 4
- 5
- 6
- 7
- 8
- 9
- 10
- 11
- 12
- 13
- 14
- 15
- 16
- 17
- 18
- 19
- 20
- 21
- 22
- 23
- 24
- 25
- 26
- 27
- 28
- 29
- 30
- 31
- 32
- 33
- 34
- 35
- 36
- 37
- 38
- 39
- 40
- 41
- 42
- 43
- 44
- 45
- 46
- 47
- 48
- 49
- 50
- 51
- 52
- 53
- 54
- 55
- 56
- 57
- 58
- 59
- 60
- 61
- 62
- 63
- 64
- 65
- 66
- 67
- 68
- 69
- 70
- 71
- 72
- 73
- 74
- 75
- 76
- 77
- 78
- 79
- 80
- 81
- 82
- 83
- 84
- 85
- 86
- 87
- 88
- 89
- 90
- 91
- 92
- 93
- 94
- 95
- 96
- 97
- 98
- 99
- 100
- 101
- 102
- 103
- 104
- 105
- 106
- 107
- 108
- 109
- 110
- 111
- 112
- 113
- 114
- 115
- 116
- 117
- 118
- 119
- 120
- 121
- 122
- 123
- 124
- 125
- 126
- 127
- 128
- 129
- 130
- 131
- 132
- 133
- 134
- 135
- 136
- 137
- 138
- 139
- 140
- 141
- 142
- 143
- 144
- 145
- 146
- 147
- 148
- 149
- 150
- 151
- 152
- 153
- 154
- 155
- 156
- 157
- 158
- 159
- 160
- 161
- 162
- 163
- 164
- 165
- 166
- 167
- 168
- 169
- 170
- 171
- 172
- 173
- 174
- 175
- 176
- 177
- 178
- 179
- 180
- 181
- 182
- 183
- 184
- 185
- 186
- 187
- 188
- 189
- 190
- 191
- 192
- 193
- 194
- 195
- 196
- 197
- 198
- 199
- 200
- 201
- 202
- 203
- 204
- 205
- 206
- 207
- 208
- 209
- 210
- 211
- 212
- 213
- 214
- 215
- 216
- 217
- 218
- 219
- 220
- 221
- 222
- 223
- 224
- 225
- 226
- 227
- 228
- 229
- 230
- 231
- 232
- 233
- 234
- 235
- 236
- 237
- 238
- 239
- 240
- 241
- 242
- 243
- 244
- 245
- 246
- 247
- 248
- 249
- 250
- 251
- 252
- 253
- 254
- 255
- 256
- 257
- 258
- 259
- 260
- 261
- 262
- 263
- 264
- 265
- 266
- 267
- 268
- 269
- 270
- 271
- 272
- 273
- 274
- 275
- 276
- 277
- 278
- 279
- 280
- 281
- 282
- 283
- 284
- 285
- 286
- 287
- 288
- 289
- 290
- 291
- 292
- 293
- 294
- 295
- 296
- 297
- 298
- 299
- 300
- 301
- 302
- 303
- 304